mohabbat ka asar hai aur main hun
mohabbat kā asar hai aur maiñ huuñ
karam kī ik nazar hai aur maiñ huuñ
tumhārī āzmā.ish ke muqābil
hayāt-e-muḳhtasar hai aur maiñ huuñ
ḳhudā ke fazl se ye sarfarāzī
qalandar kā nagar hai aur maiñ huuñ
nabī kī pairvī maz.hab hai merā
nabī kī rahguzar hai aur maiñ huuñ
bahut hī muḳhtasar sī hai kahānī
vahī ik zī-asar hai aur maiñ huuñ
'razī' donoñ haiñ us ke nām-levā
raqīb-e-kam nazar hai aur maiñ huuñ
mohabbat ka asar hai aur main hun
karam ki ek nazar hai aur main hun
tumhaari aazmaish ke muqabil
hayat-e-muKHtasar hai aur main hun
KHuda ke fazl se ye sarfaraazi
qalandar ka nagar hai aur main hun
nabi ki pairwi mazhab hai mera
nabi ki rahguzar hai aur main hun
bahut hi muKHtasar si hai kahani
wahi ek zi-asar hai aur main hun
'razi' donon hain us ke nam-lewa
raqib-e-kam nazar hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.