rind-e-KHarab tera wo mai piye hue hai
rind-e-ḳharāb terā vo mai piye hue hai
muddat se jaan jis par zāhid diye hue hai
kis shaan se vo mai-kash aatā hai mai-kade meñ
qaazī subū surāhī muftī liye hue hai
aatā nahīñ nazar kuchh go sāmnā hai us kā
kyā beach meñ tahayyur parda kiye hue hai
ho kaun baḳhiya-gar se zaḳhmī kā tere saa.ī
rishta khiñchā hai sozan muñh ko siye hue hai
pīr-e-muġhāñ vo kākul murshid hai bāda-ḳhvāro
jamshed bhī pyāla us kā piye hue hai
hurmat meñ duḳht-e-raz kī isrār hai jo itnā
ye baat kyā hai rind-o-vā.iz piye hue hai
rahm ab 'amīr' par bhī lāzim hai yaar tujh ko
kab se Dha.ī vo tere dar par diye hue hai
rind-e-KHarab tera wo mai piye hue hai
muddat se jaan jis par zahid diye hue hai
kis shan se wo mai-kash aata hai mai-kade mein
qazi subu surahi mufti liye hue hai
aata nahin nazar kuchh go samna hai us ka
kya beach mein tahayyur parda kiye hue hai
ho kaun baKHiya-gar se zaKHmi ka tere sai
rishta khincha hai sozan munh ko siye hue hai
pir-e-mughan wo kakul murshid hai baada-KHwaro
jamshed bhi pyala us ka piye hue hai
hurmat mein duKHt-e-raz ki israr hai jo itna
ye baat kya hai rind-o-waiz piye hue hai
rahm ab 'amir' par bhi lazim hai yar tujh ko
kab se Dhai wo tere dar par diye hue hai
- Book : Diwan-e-Ameer Ma'ruf Ba-Mirat-ul-Ghaib (Pg. 318)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Munshi Navalkishor, Lucknow (1922)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.