pheñk dūñgā maiñ use chiir ke pahlū apnā
tujh pe qaabū nahīñ dil par to hai qaabū apnā
bū-e-gul se mujhe dhokā na de us kī bū kā
chochalā rahne de bād-e-saharī tū apnā
raam kis tarah karegā koī sayyād use
apne saa.e se bhī ram karatā hai aahū apnā
qasd-e-nakHchīr to kar teġh to tū khīñch ai turk
aap kāTegā galā aan ke aahū apnā
yaad kar ke lab-e-pān-kHurda kī tere surḳhī
ḳhūn-e-dil apnā piyā hai ka.ī chullū apnā
tā-sahar hijr kī shab vird kiyā karatā hai
dil kabhī siina kabhī aur kabhī pahlū apnā
mushtarak shab se huā ḳhūn-e-jigar ashkoñ meñ
raat se rañg badalne lage aañsū apnā
pusht-e-pā māreñ na kyuuñ himmat-e-gardūñ par 'rind'
shal nahīñ fazl-e-ḳhudā se abhī baazū apnā
phenk dunga main use chir ke pahlu apna
tujh pe qabu nahin dil par to hai qabu apna
bu-e-gul se mujhe dhoka na de us ki bu ka
chochala rahne de baad-e-sahari tu apna
ram kis tarah karega koi sayyaad use
apne sae se bhi ram karata hai aahu apna
qasd-e-nakHchir to kar tegh to tu khinch ai turk
aap kaTega gala aan ke aahu apna
yaad kar ke lab-e-pan-kHurda ki tere surKHi
KHun-e-dil apna piya hai kai chullu apna
ta-sahar hijr ki shab wird kiya karata hai
dil kabhi sina kabhi aur kabhi pahlu apna
mushtarak shab se hua KHun-e-jigar ashkon mein
raat se rang badalne lage aansu apna
pusht-e-pa maren na kyun himmat-e-gardun par 'rind'
shal nahin fazl-e-KHuda se abhi bazu apna
Source :
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.