rind qane mutawaze hai KHuda deta hai
riñd qaane mutavāze hai ḳhudā detā hai
jab vo paatā hai to piitā hai pilā detā hai
vus.at-e-dil meñ hai us kī ye farāvānī-e-lutf
mai ke dariyā mare sahrā meñ bahā detā hai
meñ sū-e-tūr kalīm ab jo kabhī jaatā huuñ
koī dil par mere bijlī sī girā detā hai
yād-e-mai aa.ī mujhe aur sunā duuñ ik sher
kaif-e-mai se jo mujhe lutf sivā detā hai
bai.at-e-pīr-e-muġhāñ kī hai jo tauba kar ke
yahī paanī mai-e-gulgūñ kā maza detā hai
sadr-e-ā.zam-e-sho.arā ko jo silā detā hai
shaah ke sadqe meñ dekhūñ mujhe kyā detā hai
jūd-e-shah-e-zail meñ ho darj ki jibrīl kahīñ
koī shā.ir ye gadā hai jo sadā detā hai
qudrat-e-haq kā karishma hai saḳhāvat shah kī
jis ko denā hai muqaddar se sivā detā hai
vo ḳhudā.ī ke luTā.e jo ḳhazāne kam hai
miir usmān-alī ḳhaan ko ḳhudā detā hai
vo to vo shaad jise sadr banāyā shah ne
jab vo detā hai so us se bhī sivā detā hai
meñ balā-nosh huuñ pī jā۔ūñ jo dariyā pāūñ
mujhe ghar baiThe mai-e-hosh-rubā detā hai
qadar-dāñ aaj zamāne meñ dakan hai varna
kaun ab kis ko zamāne meñ silā detā hai
shaad ke naam se har rañj-o-ḳhushī ho ke 'riyāz'
sadr-e-āzam ko shab-o-roz duā detā hai
rind qane mutawaze hai KHuda deta hai
jab wo pata hai to pita hai pila deta hai
wusat-e-dil mein hai us ki ye farawani-e-lutf
mai ke dariya mare sahra mein baha deta hai
mein su-e-tur kalim ab jo kabhi jata hun
koi dil par mere bijli si gira deta hai
yaad-e-mai aai mujhe aur suna dun ek sher
kaif-e-mai se jo mujhe lutf siwa deta hai
baiat-e-pir-e-mughan ki hai jo tauba kar ke
yahi pani mai-e-gulgun ka maza deta hai
sadr-e-azam-e-shoara ko jo sila deta hai
shah ke sadqe mein dekhun mujhe kya deta hai
jud-e-shah-e-zail mein ho darj ki jibril kahin
koi shair ye gada hai jo sada deta hai
qudrat-e-haq ka karishma hai saKHawat shah ki
jis ko dena hai muqaddar se siwa deta hai
wo KHudai ke luTae jo KHazane kam hai
mir usman-ali KHan ko KHuda deta hai
wo to wo shad jise sadr banaya shah ne
jab wo deta hai so us se bhi siwa deta hai
mein bala-nosh hun pi ja۔un jo dariya paun
mujhe ghar baiThe mai-e-hosh-ruba deta hai
qadar-dan aaj zamane mein dakan hai warna
kaun ab kis ko zamane mein sila deta hai
shad ke nam se har ranj-o-KHushi ho ke 'riyaz'
sadr-e-azam ko shab-o-roz dua deta hai
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 536)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.