rindon ke liye mai-KHane ki har rasm ibaadat hoti hai
rindoñ ke liye mai-ḳhāne kī har rasm 'ibādat hotī hai
dilbar ko biThā kar pesh-e-nazar chehre kī tilāvat hotī hai
vo 'ilm-e-sharī'at hai vā'iz jis ne bhī paḌhā use sanad milī
jo maktab-e-’ishq meñ aa jaa.e mushkil meñ ijāzat hotī hai
ik rind ne mujh ko batlāyā na jannat hai na bāġh-e-iram
jis ḳhaak pe do dil pyaar kareñ vo ḳhaak hī jannat hotī hai
be-kār shikāyat kyā ma.anī ik baat pate kī kahtā huuñ
āñkhoñ ko 'abas badnām kiyā sab dil kī sharārat hotī hai
hai tujh pe karam ik sūrat kā tujhe 'qādrī' kuchh pahchān nahīñ
tū uskī haqīqat kyā jaane kyā chiiz mohabbat hotī hai
rindon ke liye mai-KHane ki har rasm 'ibaadat hoti hai
dilbar ko biTha kar pesh-e-nazar chehre ki tilawat hoti hai
wo 'ilm-e-shari'at hai wa'iz jis ne bhi paDha use sanad mili
jo maktab-e-’ishq mein aa jae mushkil mein ijazat hoti hai
ek rind ne mujh ko batlaya na jannat hai na bagh-e-iram
jis KHak pe do dil pyar karen wo KHak hi jannat hoti hai
be-kar shikayat kya mani ek baat pate ki kahta hun
aankhon ko 'abas badnam kiya sab dil ki shararat hoti hai
hai tujh pe karam ek surat ka tujhe 'qadri' kuchh pahchan nahin
tu uski haqiqat kya jaane kya chiz mohabbat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.