itna bhi na sharmao pahle ki tarah phir se
itnā bhī na sharmāo pahle kī tarah phir se
apne haiñ ye apnāo pahle kī tarah phir se
jis dar se binā māñgte miltā hai tumheñ sab kuchh
ye haath na phailāo pahle kī tarah phir se
ye dar bhī tumhārā hai ye ghar bhī tumhārā hai
jab aanā hai aa jaao pahle kī tarah phir se
bīmār-e-mohabbat ko dildār kī hājat hai
sūrat ko dikhā jaao pahle kī tarah phir se
markaz se haTe ham to barbādiyāñ lāzim haiñ
mahbūb ke gun gaao pahle kī tarah phir se
sunte haiñ pareshānī tanhā.ī baḌhātī hai
mahfil meñ chale aao pahle kī tarah phir se
'ālim' ko ujāloñ se mannat kī zarūrat kyā
parde se nikal aao pahle kī tarah phir se
itna bhi na sharmao pahle ki tarah phir se
apne hain ye apnao pahle ki tarah phir se
jis dar se bina mangte milta hai tumhein sab kuchh
ye hath na phailao pahle ki tarah phir se
ye dar bhi tumhaara hai ye ghar bhi tumhaara hai
jab aana hai aa jao pahle ki tarah phir se
bimar-e-mohabbat ko dildar ki hajat hai
surat ko dikha jao pahle ki tarah phir se
markaz se haTe hum to barbaadiyan lazim hain
mahbub ke gun gao pahle ki tarah phir se
sunte hain pareshani tanhai baDhati hai
mahfil mein chale aao pahle ki tarah phir se
'alim' ko ujalon se mannat ki zarurat kya
parde se nikal aao pahle ki tarah phir se
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 191)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.