hun aap se wabasta inayat hi alag hai
huuñ aap se vābasta 'ināyat hī alag hai
masrūf-e-karam aap kī 'ādat hī alag hai
pal-bhar meñ ġhulāmoñ ko shahanshāh banā de
ai pīr-e-muġhāñ terī 'ināyat hī alag hai
maḳhlūq-e-ḳhudā faiz se sarshār hai har dam
sādāt ke darbār kī rañgat hī alag hai
jibrīl bhī aate haiñ to aate haiñ adab se
sarkār kī chaukhaT kī fazīlat hī alag hai
duniyā ho ki 'uqbā ho sañvar jā.eñge donoñ
maañ jis ko milī us kī to qismat hī alag hai
ye 'izzat-o-shohrat ye har ik gaam navāzish
andāz mirā terī badaulat hī alag hai
yūñhī nahīñ shaidā.ī zamāne kī navāzish
'ālam' ke liye aap kī chāhat hī alag hai
hun aap se wabasta 'inayat hi alag hai
masruf-e-karam aap ki 'adat hi alag hai
pal-bhar mein ghulamon ko shahanshah bana de
ai pir-e-mughan teri 'inayat hi alag hai
maKHluq-e-KHuda faiz se sarshaar hai har dam
sadat ke darbar ki rangat hi alag hai
jibril bhi aate hain to aate hain adab se
sarkar ki chaukhaT ki fazilat hi alag hai
duniya ho ki 'uqba ho sanwar jaenge donon
man jis ko mili us ki to qismat hi alag hai
ye 'izzat-o-shohrat ye har ek gam nawazish
andaz mera teri badaulat hi alag hai
yunhi nahin shaidai zamane ki nawazish
'alam' ke liye aap ki chahat hi alag hai
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 196)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.