wafa ki raushni pate to aate
vafā kī raushnī paate to aate
charāġh-e-dil jo jal jaate to aate
ik un kī zaat se sachchī mohabbat
miyāñ jo aap farmāte to aate
tumhār 'ishq meñ ik roz ham the
sar-e-bāzār bik jaate to aate
fanā karne ko tum par apnī hastī
tah-e-shamshīr aa jaate to aate
kahāñ daur-e-ḳhizāñ meñ un kī aamad
jo mausam phuul barsāte to aate
ġharaz ham ko zamāne se nahīñ hai
ishāra aap kā paate to aate
bulānā chāhte the un ko 'ālam'
jo qasdan aap gir jaate to aate
wafa ki raushni pate to aate
charagh-e-dil jo jal jate to aate
ek un ki zat se sachchi mohabbat
miyan jo aap farmate to aate
tumhaar 'ishq mein ek roz hum the
sar-e-bazar bik jate to aate
fana karne ko tum par apni hasti
tah-e-shamshir aa jate to aate
kahan daur-e-KHizan mein un ki aamad
jo mausam phul barsate to aate
gharaz hum ko zamane se nahin hai
ishaara aap ka pate to aate
bulana chahte the un ko 'alam'
jo qasdan aap gir jate to aate
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 208)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.