tumhaari galiyon ki gard-o-ghubar ho jaun
tumhārī galiyoñ kī gard-o-ġhubār ho jā.ūñ
miTūñ tumhīñ pe tumhīñ par nisār ho jā.ūñ
tumhār 'ishq meñ suulī pe chaḌh gayā koī
koī to chāhe ke maiñ sañgsār ho jā.ūñ
tumheñ pasand agar chāk-dāmanī hai mirī
ishāra kar do abhī tār-tār ho jā.ūñ
mirī ġharībī hī un ko pasand hai varna
abhī vo kah deñ abhī tāj-dār ho jā.ūñ
tumhār saath hī karnī hai tai har ik manzil
akele kaise batāo maiñ paar ho jā.ūñ
nazar bichhā.e maiñ baiThā huuñ raah meñ kab se
bahār aa.e to nazr-e-bahār ho jā.ūñ
kisī ke qadmoñ meñ guzre ye zindagī 'ālam
maiñ chāhtā hī nahīñ nām-dār ho jā.ūñ
tumhaari galiyon ki gard-o-ghubar ho jaun
miTun tumhin pe tumhin par nisar ho jaun
tumhaar 'ishq mein suli pe chaDh gaya koi
koi to chahe ke main sangsar ho jaun
tumhein pasand agar chaak-damani hai meri
ishaara kar do abhi tar-tar ho jaun
meri gharibi hi un ko pasand hai warna
abhi wo kah den abhi taj-dar ho jaun
tumhaar sath hi karni hai tai har ek manzil
akele kaise batao main par ho jaun
nazar bichhae main baiTha hun rah mein kab se
bahaar aae to nazr-e-bahaar ho jaun
kisi ke qadmon mein guzre ye zindagi 'alam
main chahta hi nahin nam-dar ho jaun
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 215)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.