rah-e-hayat kaTi is tarah ki uTh Th kar
rah-e-hayāt kaTī is tarah ki uTh Th kar
maiñ baiTh baiTh gayā gard-e-kārvāñ kī tarah
hameñ hai ghar se ta.alluq ab is qadar baaqī
kabhī jo aa.e to do-din ko mehmāñ kī tarah
sharīk-e-dard to kyā bā.is-e-aziyyat haiñ
vo log jin se ravābit the jism-o-jāñ kī tarah
'riyāz' maut hai is shart se hameñ manzūr
zamīñ satā.e na marne pe āsmāñ kī tarah
rah-e-hayat kaTi is tarah ki uTh Th kar
main baiTh baiTh gaya gard-e-karwan ki tarah
hamein hai ghar se talluq ab is qadar baqi
kabhi jo aae to do-din ko mehman ki tarah
sharik-e-dard to kya bais-e-aziyyat hain
wo log jin se rawabit the jism-o-jaan ki tarah
'riyaz' maut hai is shart se hamein manzur
zamin satae na marne pe aasman ki tarah
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 102)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.