na kaam aae jo daman ke ashk-e-KHun kya hai
na kaam aa.e jo dāman ke ashk-e-ḳhūñ kyā hai
jo kaam aa.e na āñkhoñ ke vo lahū kyā hai
banā hai va.ada-e-fardā se un ke tār-e-kafan
safed riish kā merī har ek mū kyā hai
na rañg laa.e na bū de agar kareñ pāmāl
maiñ kuchh nahīñ huuñ merā ḳhūn-e-ārzū kyā hai
jo toḌ hai evaz-e-mai zarā sā paanī de
hamāre dil kā phapholā hai ye subū kyā hai
bujhegī pyaas na merī agar galā ragḌūñ
na aab jis meñ ho vo ḳhanjar-e-adū kyā hai
jo nā-shanās haiñ un ko 'riyāz' ho ma.alūm
ġhulām-e-sāqī-e-kausar kī aabrū kyā hai
na kaam aae jo daman ke ashk-e-KHun kya hai
jo kaam aae na aankhon ke wo lahu kya hai
bana hai wada-e-farda se un ke tar-e-kafan
safed rish ka meri har ek mu kya hai
na rang lae na bu de agar karen pamal
main kuchh nahin hun mera KHun-e-arzu kya hai
jo toD hai ewaz-e-mai zara sa pani de
hamare dil ka phaphola hai ye subu kya hai
bujhegi pyas na meri agar gala ragDun
na aab jis mein ho wo KHanjar-e-adu kya hai
jo na-shanas hain un ko 'riyaz' ho malum
ghulam-e-saqi-e-kausar ki aabru kya hai
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 103)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.