aab ziyaada kis mein hai chashmak baham hoti hai
Interesting Fact
زمانہ ۔کانپور۔ جنوری ۱۹۲۶ ء)
aab ziyāda kis meñ hai chashmak bāham hotī hai
merī aañkh meñ aañsū hai tere kaan meñ motī hai
sham.a fasurda bujhtī hai suunī mahfil hotī hai
hasrat baiThī dil meñ ab jaañ ko mere rotī hai
motī sī vo aab kahāñ aañsū kaalā motī hai
shāyad merī hijr kī shab muñh kī syāhī hotī hai
merī aañkh kā taarā hai aañsū merī qismat kā
qismat ko maiñ rotā huuñ qismat mujh ko rotī hai
zaḳhm-e-jigar kī baḳhiya-garī ab hai mizha kī sozan se
haq meñ hamāre baḌh baḌh kar aur ye kāñTe botī hai
sāhil tah se duur sivā tah sāhil se duur sivā
qismat qa.ar-e-samundar meñ kashtī aaj Dubotī hai
dil par naqsh-e-mehr-o-vafā do-din kī to baat nahīñ
koī bhī ho dil meñ jagah hote hote hotī hai
ka.abe aa kar shaiḳh-e-haram naam na le phir jaane kā
aao bhagat mai-ḳhāne meñ zāhid itnī hotī hai
jaan chhuḌānā mushkil hai zālim aaj qayāmat ko
terī chaal ke fitnoñ ne kaisī aafat jotī hai
pī pī kar maiñ rotā huuñ ro ro kar maiñ piitā huuñ
daaġh jo koī paḌtā hai tauba dāman dhotī hai
pur-ḳham zulf ko saudā hai bal kam hote jaate haiñ
ab dil le le kar kuchh aur girah se khotī hai
haath par apne haath dhare hashr ke din chup baiThā huuñ
ashk-e-nadāmat umañDe haiñ tauba dāman dhotī hai
had se baḌhī tāsīr-e-junūñ sar-tā-pā tasvīr-e-junūñ
shakl-e-'riyāz' ab dekheñ kyā dekh ke vahshat hotī hai
aab ziyaada kis mein hai chashmak baham hoti hai
meri aankh mein aansu hai tere kan mein moti hai
shama fasurda bujhti hai suni mahfil hoti hai
hasrat baiThi dil mein ab jaan ko mere roti hai
moti si wo aab kahan aansu kala moti hai
shayad meri hijr ki shab munh ki syahi hoti hai
meri aankh ka tara hai aansu meri qismat ka
qismat ko main rota hun qismat mujh ko roti hai
zaKHm-e-jigar ki baKHiya-gari ab hai mizha ki sozan se
haq mein hamare baDh baDh kar aur ye kanTe boti hai
sahil tah se dur siwa tah sahil se dur siwa
qismat qar-e-samundar mein kashti aaj Duboti hai
dil par naqsh-e-mehr-o-wafa do-din ki to baat nahin
koi bhi ho dil mein jagah hote hote hoti hai
kabe aa kar shaiKH-e-haram nam na le phir jaane ka
aao bhagat mai-KHane mein zahid itni hoti hai
jaan chhuDana mushkil hai zalim aaj qayamat ko
teri chaal ke fitnon ne kaisi aafat joti hai
pi pi kar main rota hun ro ro kar main pita hun
dagh jo koi paDta hai tauba daman dhoti hai
pur-KHam zulf ko sauda hai bal kam hote jate hain
ab dil le le kar kuchh aur girah se khoti hai
hath par apne hath dhare hashr ke din chup baiTha hun
ashk-e-nadamat umanDe hain tauba daman dhoti hai
had se baDhi tasir-e-junun sar-ta-pa taswir-e-junun
shakl-e-'riyaz' ab dekhen kya dekh ke wahshat hoti hai
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 107)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.