Sufinama

rang par kal tha abhi lala-gulshan kaisa

Riyaz Khairabadi

rang par kal tha abhi lala-gulshan kaisa

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    rañg par kal thā abhī lāla-gulshan kaisā

    be-charāġh aaj hai har ek nasheman kaisā

    ab ḳhudā jaane bahār aatī hai us meñ ki nahīñ

    mere dam se kabhī ābād thā gulshan kaisā

    zab.h ke vaqt bahut saaf rahā thā ye to

    de uThā ḳhuun dam-e-hashr ye dāman kaisā

    to dharī jā.egī us ghar se jo niklī koī baat

    nigah-e-shauq ye dīvār meñ rauzan kaisā

    merī saj-dhaj to koī isha-e-butāñ meñ dekhe

    saath qashqe ke hai zunnār-e-barahman kaisā

    aa.e haiñ daaġh nayā dene vo mujh ko pas-e-marg

    aaj phailā hai ujālā sar-e-madfan kaisā

    bāġhbāñ kaam hameñ kyā hai vo ujḌe ki rahe

    jab hamīñ baaġh se nikle to nasheman kaisā

    pārsā ban ke 'riyāz' aa.e haiñ maiḳhāne meñ

    aap baiThe haiñ chhupā.e hue dāman kaisā

    rang par kal tha abhi lala-gulshan kaisa

    be-charagh aaj hai har ek nasheman kaisa

    ab KHuda jaane bahaar aati hai us mein ki nahin

    mere dam se kabhi aabaad tha gulshan kaisa

    zabh ke waqt bahut saf raha tha ye to

    de uTha KHun dam-e-hashr ye daman kaisa

    to dhari jaegi us ghar se jo nikli koi baat

    nigah-e-shauq ye diwar mein rauzan kaisa

    meri saj-dhaj to koi isha-e-butan mein dekhe

    sath qashqe ke hai zunnar-e-barahman kaisa

    aae hain dagh naya dene wo mujh ko pas-e-marg

    aaj phaila hai ujala sar-e-madfan kaisa

    baghban kaam hamein kya hai wo ujDe ki rahe

    jab hamin bagh se nikle to nasheman kaisa

    parsa ban ke 'riyaz' aae hain maiKHane mein

    aap baiThe hain chhupae hue daman kaisa

    Source :
    • Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 108)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now