chheDte hi sar mere zulf-e-rasa ho jaegi
chheḌte hī sar mire zulf-e-rasā ho jā.egī
ye parī tere liye o dil balā ho jā.egī
ai asīrān-e-qafas aane ko hai fasl-e-ḳhizāñ
chār-din meñ aur gulshan kī havā ho jā.egī
saath ashkoñ ke lahū kyā laḳht-e-dil aane lage
kuchh na kuchh badnām ab merī vafā ho jā.egī
mauj-e-tūfāñ pheñk degī us ko sāhil kī taraf
paar ab kashtī mirī ai nāḳhudā ho jā.egī
le nahīñ saktā huuñ maiñ bhūle se bhī ka.aba kā naam
kyā ḳhudā.ī butoñ kī ai ḳhudā ho jā.egī
lā bhī de sode kī botal jā ke ai shaiḳh-e-haram
āb-e-zamzam kyā milā.ūñ bad-maza ho jā.egī
luuT lo achchhī tarah lutf-e-ma.āsī ai 'riyāz'
haiñ yahī āsār ab duniyā fanā ho jā.egī
chheDte hi sar mere zulf-e-rasa ho jaegi
ye pari tere liye o dil bala ho jaegi
ai asiran-e-qafas aane ko hai fasl-e-KHizan
chaar-din mein aur gulshan ki hawa ho jaegi
sath ashkon ke lahu kya laKHt-e-dil aane lage
kuchh na kuchh badnam ab meri wafa ho jaegi
mauj-e-tufan phenk degi us ko sahil ki taraf
par ab kashti meri ai naKHuda ho jaegi
le nahin sakta hun main bhule se bhi kaba ka nam
kya KHudai buton ki ai KHuda ho jaegi
la bhi de sode ki botal ja ke ai shaiKH-e-haram
aab-e-zamzam kya milaun bad-maza ho jaegi
luT lo achchhi tarah lutf-e-maasi ai 'riyaz'
hain yahi aasar ab duniya fana ho jaegi
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 108)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.