wo kaun suna mujhe un ka mera dua dena
vo kaun sunā mujhe un kā mirā duā denā
baḌhe na baat ye hai aag ko havā denā
kahāñ uḌegī na zāhid ko kuchh patā denā
din meñ aa.e to rindo havā batā denā
tumhāre kūcha meñ kuchh taur vaale baiTheñ haiñ
zarā tum aa ke lab-e-bām muskurā denā
balā hai qabr kī shab is se baḌh ke hashr ke din
na aa.uuñ hosh meñ itnī mujhe pilā denā
rahegā yaad mujhe bhī unheñ bhī vasl kī shab
vo un ke haar kī kaliyoñ kā muskurā denā
mazā ho tañg dar-e-ḳhānqa meñ shaiḳh phañse
baḌā sā ḳham koī rindo gale lagā denā
na lāla-zār banānā mazār ko na sahī
charāġh ke aage kabhī shaam ko jalā denā
hazār baar maiñ us iltifāt ke sadqe
hamesha daaġh mire dil ko ik nayā denā
kareñ vo aur bhī pāmāl ḳhūñ-shuda dil ko
lagī meñ jā ke hinā aur tū lagā denā
hazāroñ aib chhupātī hai mirī rīsh-e-darāz
churā.e koī ḳhum-e-mai mujhe batā denā
mire sivā nazar aa.e na koī dozaḳh meñ
kisī kā jurm ho mālik mujhe sazā denā
chamak rahī haiñ nigāhoñ meñ bijliyāñ paiham
harīm-e-nāz se parda zarā uThā denā
jahāñ-tahāñ bahut aane lagā hai muñh vaa.iz
zarā use kahīñ rindo mazā chakhā denā
sunā hai ham ne bahut kuchh kalīm ke muñh se
ham aa.eñ to hameñ āvāz hī sunā denā
zabāñ ho band mirī to bhī kar luuñ maiñ tauba
dam-e-aḳhīr mujhe bāda-e-jāñ-fazā denā
haram hai jā-e-adab kaam degī jannat meñ
farishto taaq se botal zarā uThā denā
garāñ hai tauba ko miinā kā shor-e-qulqul bhī
ye gul machā.e to us kā galā dabā denā
sharāb-e-nāb-e-suḳhan kā ye daur-e-āḳhir hai
ġhazal 'riyāz' kī yāroñ ko tum sunā denā
wo kaun suna mujhe un ka mera dua dena
baDhe na baat ye hai aag ko hawa dena
kahan uDegi na zahid ko kuchh pata dena
din mein aae to rindo hawa bata dena
tumhaare kucha mein kuchh taur wale baiThen hain
zara tum aa ke lab-e-baam muskura dena
bala hai qabr ki shab is se baDh ke hashr ke din
na aaun hosh mein itni mujhe pila dena
rahega yaad mujhe bhi unhen bhi wasl ki shab
wo un ke haar ki kaliyon ka muskura dena
maza ho tang dar-e-KHanqa mein shaiKH phanse
baDa sa KHam koi rindo gale laga dena
na lala-zar banana mazar ko na sahi
charagh ke aage kabhi sham ko jala dena
hazar bar main us iltifat ke sadqe
hamesha dagh mere dil ko ek naya dena
karen wo aur bhi pamal KHun-shuda dil ko
lagi mein ja ke hina aur tu laga dena
hazaron aib chhupati hai meri rish-e-daraaz
churae koi KHum-e-mai mujhe bata dena
mere siwa nazar aae na koi dozaKH mein
kisi ka jurm ho malik mujhe saza dena
chamak rahi hain nigahon mein bijliyan paiham
harim-e-naz se parda zara uTha dena
jahan-tahan bahut aane laga hai munh waiz
zara use kahin rindo maza chakha dena
suna hai hum ne bahut kuchh kalim ke munh se
hum aaen to hamein aawaz hi suna dena
zaban ho band meri to bhi kar lun main tauba
dam-e-aKHir mujhe baada-e-jaan-faza dena
haram hai ja-e-adab kaam degi jannat mein
farishto taq se botal zara uTha dena
garan hai tauba ko mina ka shor-e-qulqul bhi
ye gul machae to us ka gala daba dena
sharab-e-nab-e-suKHan ka ye daur-e-aKHir hai
ghazal 'riyaz' ki yaron ko tum suna dena
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 109)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.