hogi wo dil mein jo Thani jaegi
hogī vo dil meñ jo Thānī jā.egī
kyā kisī kī baat maanī jā.egī
Dhal chukī hai ab javānī jā.egī
ye sharāb-e-arġhavānī jā.egī
teġh hī kyā haath meñ qātil ke thī
ai hinā tū bhī to saanī jā.egī
ḳhidmat-e-mai-ḳhāna kar le varna shaiḳh
rā.egāñ ye zindagānī jā.egī
piine aate haiñ farishta-ḳhū 'riyāz'
huur ke dāman meñ chhānī jā.egī
hogi wo dil mein jo Thani jaegi
kya kisi ki baat mani jaegi
Dhal chuki hai ab jawani jaegi
ye sharab-e-arghawani jaegi
tegh hi kya hath mein qatil ke thi
ai hina tu bhi to sani jaegi
KHidmat-e-mai-KHana kar le warna shaiKH
raegan ye zindagani jaegi
pine aate hain farishta-KHu 'riyaz'
hur ke daman mein chhani jaegi
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 110)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.