anjuman mein shor tha mina uThe saghar uThe
anjuman meñ shor thā miinā uThe sāġhar uThe
itnī saaqī ne pilā.ī riñd tauba kar uThe
bazm-e-mahshar se ġhulām-e-sāqī-e-kausar uThe
aao ai yārān-e-mai-e-ḳhāna zarā sāġhar uThe
rauzan-e-dar khole jaa.eñ yā hijāb-e-dar uThe
ham ġharīboñ ke dar-e-daulat se ab bistar uThe
kuchh hamāre kaan phūñke is tarah nāqūs ne
but-kade se jab uThe to ban kar ham patthar uThe
kyā hamārī jaan lene ko koī baat uTh rahī
vo uThe dushman uThā chhuriyāñ ḳhanjar uThe
jaate jaate arsa-gāh-e-hashr tak jo haal ho
uThte uThte qabr meñ sau fitna-e-mahshar uThe
sū-e-sahrā jā۔ūñ maiñ āñkhoñ se lekin kyā karūñ
ai junūñ ghar se nikal kar paañv jab bāhar uThe
ham samajhte the nikāleñge hamāre dil kī phāñs
vo uThe bhī to chubhone ke liye nashtar uThe
itnī kasrat se are saaqī phir itnī tund tez
achchhe achchhe piine vaale aaj tauba kar uThe
kyā karūñ kāñdhā nahīñ dete farishte saath ke
dosh par bār-e-garāñ a.amāl kā kyūñkar uThe
phuul barse jis taraf vaa.iz huā terā guzar
ham se dīvāne jidhar guzre udhar patthar uThe
mai-kade se shaiḳh-e-fānī kah ke ye ruḳhsat hue
dekhiye ab lutf-e-sohbat kab lab-e-kausar uThe
be-piye bhī sub.h-e-mahshar ham ko laġhzish hai bahut
qabr se kyuuñ kar uTheñ bār-e-gunāh kyuuñ kar uThe
jubba-sā.ī jis se kī qismat chamak uThī 'riyāz'
hazrat-e-'sāhir' ke dar se kyuuñ hamārā sar uThe
anjuman mein shor tha mina uThe saghar uThe
itni saqi ne pilai rind tauba kar uThe
bazm-e-mahshar se ghulam-e-saqi-e-kausar uThe
aao ai yaran-e-mai-e-KHana zara saghar uThe
rauzan-e-dar khole jaen ya hijab-e-dar uThe
hum gharibon ke dar-e-daulat se ab bistar uThe
kuchh hamare kan phunke is tarah naqus ne
but-kade se jab uThe to ban kar hum patthar uThe
kya hamari jaan lene ko koi baat uTh rahi
wo uThe dushman uTha chhuriyan KHanjar uThe
jate jate arsa-gah-e-hashr tak jo haal ho
uThte uThte qabr mein sau fitna-e-mahshar uThe
su-e-sahra ja۔un main aankhon se lekin kya karun
ai junun ghar se nikal kar panw jab bahar uThe
hum samajhte the nikalenge hamare dil ki phans
wo uThe bhi to chubhone ke liye nashtar uThe
itni kasrat se are saqi phir itni tund tez
achchhe achchhe pine wale aaj tauba kar uThe
kya karun kandha nahin dete farishte sath ke
dosh par bar-e-garan aamal ka kyunkar uThe
phul barse jis taraf waiz hua tera guzar
hum se diwane jidhar guzre udhar patthar uThe
mai-kade se shaiKH-e-fani kah ke ye ruKHsat hue
dekhiye ab lutf-e-sohbat kab lab-e-kausar uThe
be-piye bhi subh-e-mahshar hum ko laghzish hai bahut
qabr se kyun kar uThen bar-e-gunah kyun kar uThe
jubba-sai jis se ki qismat chamak uThi 'riyaz'
hazrat-e-'sahir' ke dar se kyun hamara sar uThe
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 103)
- Publication : Fine Book Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.