sharab-e-nab se saqi jo hum wuzu karte
sharāb-e-nāb se saaqī jo ham vuzū karte
haram ke log tavāf-e-ḳhum-o-subū karte
vo mal ke dast-e-hinā.ī se dil lahū karte
ham aarzū ko hasīñ ḳhūn-e-ārzū karte
bahut hī kho.e hue ham yahāñ rahe afsos
vo be-nishān thā apnī hī justujū karte
utaar lete unheñ bām-e-tūr se dil meñ
ham iḳhtiyār vo andāz-e-guftugū karte
mah-e-siyām meñ mauqa jo ham ko mil jaatā
ham ek saañs meñ ḳhālī ḳhum-o-subū karte
kahāñ kahāñ na hue gum talāsh meñ terī
kahāñ kahāñ na phire terī justujū karte
na aane paa.e hinā.ī hamāre phūloñ meñ
ye phuul ḳhaak tamannā-e-rañg-o-bū karte
'riyāz' kausar-o-tasnīm sab vahīñ hote
jo pī ke ham sar-e-zamzam kabhī vuzū karte
sharab-e-nab se saqi jo hum wuzu karte
haram ke log tawaf-e-KHum-o-subu karte
wo mal ke dast-e-hinai se dil lahu karte
hum aarzu ko hasin KHun-e-arzu karte
bahut hi khoe hue hum yahan rahe afsos
wo be-nishan tha apni hi justuju karte
utar lete unhen baam-e-tur se dil mein
hum iKHtiyar wo andaz-e-guftugu karte
mah-e-siyam mein mauqa jo hum ko mil jata
hum ek sans mein KHali KHum-o-subu karte
kahan kahan na hue gum talash mein teri
kahan kahan na phire teri justuju karte
na aane pae hinai hamare phulon mein
ye phul KHak tamanna-e-rang-o-bu karte
'riyaz' kausar-o-tasnim sab wahin hote
jo pi ke hum sar-e-zamzam kabhi wuzu karte
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 104)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.