Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

zamin-e-mai-kada arsh-e-barin malum hoti hai

Riyaz Khairabadi

zamin-e-mai-kada arsh-e-barin malum hoti hai

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    Interesting Fact

    (شباب اردو۔ امر تسر جون جولائی ۱۹۳۱ ء)

    zamīn-e-mai-kada arsh-e-barīñ ma.alūm hotī hai

    ye ḳhisht-e-ḳhum farishte jabīñ ma.alūm hotī hai

    mirī hasrat tabassum-āfrīñ ma.alūm hotī hai

    chhupī tire tabassum meñ nahīñ ma.alūm hotī hai

    ye ai sayyād rah rah kar chamaktī hai kahāñ bijlī

    jahāñ mirā nasheman thā vahīñ ma.alūm hotī hai

    chalī bhī teġh to kis naaz se tham-tham ke ruk-ruk kar

    ye kuchh un se ziyāda nāznīñ ma.alūm hotī hai

    nigāh-e-tez bhī parde meñ hai mizhgāñ darāzī ke

    chhurī bhī aaj zer-e-āstīñ ma.alūm hotī hai

    lapak us chamak vohī dam-ḳham vahī 'ālam

    ye bijlī koī āh-e-ātishīñ ma.alūm hotī hai

    'riyāz' aisī mire dil se lagī hai jaam kausar

    mai-e-añgūr ab achchhī nahīñ ma.alūm hotī hai

    zamin-e-mai-kada arsh-e-barin malum hoti hai

    ye KHisht-e-KHum farishte ki jabin malum hoti hai

    meri hasrat tabassum-afrin malum hoti hai

    chhupi tere tabassum mein nahin malum hoti hai

    ye ai sayyaad rah rah kar chamakti hai kahan bijli

    jahan mera nasheman tha wahin malum hoti hai

    chali bhi tegh to kis naz se tham-tham ke ruk-ruk kar

    ye kuchh un se ziyaada naznin malum hoti hai

    nigah-e-tez bhi parde mein hai mizhgan daraazi ke

    chhuri bhi aaj zer-e-astin malum hoti hai

    lapak us ki chamak wohi dam-KHam wahi 'alam

    ye bijli koi aah-e-atishin malum hoti hai

    'riyaz' aisi mere dil se lagi hai jam kausar ki

    mai-e-angur ab achchhi nahin malum hoti hai

    Source :
    • Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 105)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now