duri-e-rah se kuchh baiTh gaya dil mera
Interesting Fact
(شباب اردو ۔امرتسر جون جولائی ۱۹۳۱ ء)
dūrī-e-rāh se kuchh baiTh gayā dil merā
paañv kyā ḳhaak uThe ab sū-e-manzil merā
rañg bāñdhā hai chaman meñ ye fuġhāñ ne merī
chupke muñh dekhte rahte haiñ anādil merā
āstīñ rañg badle aa.ī lahū de niklī
na chhupā laakh chhupā hashr meñ qātil merā
bazm-e-qavvālī meñ kyā ḳhum se uḌā lī maiñ ne
haath thāmā na kisī ne sar-e-mahfil merā
kuchh ajab lutf se mil-jul ke rahā ek se ek
ġham terā jaañ merī rañj terā dil merā
ye merā ho ke rahā ba.ad-e-fanā turbat meñ
jaañ se bhī hai sivā mere liye dil merā
jo khilā phuul banā zaḳhm mere dil 'riyāz'
jo kalī rah ga.ī khilne se banā dil merā
duri-e-rah se kuchh baiTh gaya dil mera
panw kya KHak uThe ab su-e-manzil mera
rang bandha hai chaman mein ye fughan ne meri
chupke munh dekhte rahte hain anadil mera
aastin rang badle aai lahu de nikli
na chhupa lakh chhupa hashr mein qatil mera
bazm-e-qawwali mein kya KHum se uDa li main ne
hath thama na kisi ne sar-e-mahfil mera
kuchh ajab lutf se mil-jul ke raha ek se ek
gham tera jaan meri ranj tera dil mera
ye mera ho ke raha baad-e-fana turbat mein
jaan se bhi hai siwa mere liye dil mera
jo khila phul bana zaKHm mere dil 'riyaz'
jo kali rah gai khilne se bana dil mera
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 105)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.