Sufinama

sharar-e-tur hai jo mauj hai paimane mein

Riyaz Khairabadi

sharar-e-tur hai jo mauj hai paimane mein

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    Interesting Fact

    (صبح امید۔ لکھنؤ اپریل ۱۹۲۰ ء)

    sharar-e-tūr hai jo mauj hai paimāne meñ

    bijliyāñ kauñdhtī haiñ aaj to mai-ḳhāne meñ

    ek ḳhoshe ke barābar nahīñ maiḳhāne meñ

    ḳhum meñ jo hai vo hai añgūr ke har daane meñ

    chheḌiye yuuñ dil-e-vābasta shagufta ho jaa.e

    lutf khilne meñ hai phuul ke murjhā ne meñ

    aur bhī chāñd shakleñ haiñ nahīñ aap na hoñ

    nuur sham.eñ nahīñ raushan mire kāshāne meñ

    de de merī javānī tere sadqe saaqī

    hai vo tere chhalakte hue paimāne meñ

    lutf hai dair-o-haram donoñ se mujh ko ai shaiḳh

    dil hai ka.aba meñ mirā jaañ but-ḳhāne meñ

    nahīñ paḌte haiñ zamīñ par jo tire naqsh-e-qadam

    kyuuñ uḌe rañg-e-hinā ġhair ke ghar jaane meñ

    rizq miltā hai dar-e-hazrat-e-'sāhir' se 'riyāz'

    jaam chhalkāte haiñ baiThe hue mai-ḳhāne meñ

    sharar-e-tur hai jo mauj hai paimane mein

    bijliyan kaundhti hain aaj to mai-KHane mein

    ek KHoshe ke barabar nahin maiKHane mein

    KHum mein jo hai wo hai angur ke har dane mein

    chheDiye yun dil-e-wabasta shagufta ho jae

    lutf khilne mein hai ya phul ke murjha ne mein

    aur bhi chand ki shaklen hain nahin aap na hon

    nur ki shamen nahin raushan mere kashane mein

    de de tu meri jawani tere sadqe saqi

    hai wo tere chhalakte hue paimane mein

    lutf hai dair-o-haram donon se mujh ko ai shaiKH

    dil hai kaba mein mera jaan but-KHane mein

    nahin paDte hain zamin par jo tere naqsh-e-qadam

    kyun uDe rang-e-hina ghair ke ghar jaane mein

    rizq milta hai dar-e-hazrat-e-'sahir' se 'riyaz'

    jam chhalkate hain baiThe hue mai-KHane mein

    Source :
    • Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 106)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now