namaz bhi wahin paDhte hain wahin wuzu karte
Interesting Fact
(صبح امید لکھنؤ ۱۹۲۰ ء)
namāz bhī vahīñ paḌhte haiñ vahīñ vuzū karte
shikār bhī bat-e-mai ke kināre jo karte
kalīm baat baḌhāte na guftugū karte
lab-e-ḳhāmosh se iz.hār-e-ārzū karte
hasīn bhī huuñ ḳhush-āvāz bhī farishta-e-qabr
kaTī hai umr hasīnoñ se guftugū karte
hamārī phuul kā sāġhar agar ye gul bante
to aur rañg se iz.hār-e-rañg-o-bū karte
girāte yūñhī sar-e-tūr bijliyāñ ham par
agar hijāb thā parde se guftugū karte
ye dāġh-e-mai haiñ baḌe phailte haiñ sar-e-dāman
jo āb-e-zamzam-o-kausar se shust-o-shū karte
hameñ ḳhudā ke sivā kuchh nazar nahīñ aatā
nikal ga.e haiñ bahut duur justujū karte
ba-qadr-e-zarf-e-vuzū mai jo miltī paanī se
siyāh-rū bhī dam-e-hashr shust-o-shū karte
na thā shabāb kamar meñ 'riyāz' zar hotā
to din buḌhāpe ke bhī nazr-e-lucknow karte
namaz bhi wahin paDhte hain wahin wuzu karte
shikar bhi bat-e-mai ke kinare jo karte
kalim baat baDhate na guftugu karte
lab-e-KHamosh se izhaar-e-arzu karte
hasin bhi hun KHush-awaz bhi farishta-e-qabr
kaTi hai umr hasinon se guftugu karte
hamari phul ka saghar agar ye gul bante
to aur rang se izhaar-e-rang-o-bu karte
giraate yunhi sar-e-tur bijliyan hum par
agar hijab tha parde se guftugu karte
ye dagh-e-mai hain baDe phailte hain sar-e-daman
jo aab-e-zamzam-o-kausar se shust-o-shu karte
hamein KHuda ke siwa kuchh nazar nahin aata
nikal gae hain bahut dur justuju karte
ba-qadr-e-zarf-e-wuzu mai jo milti pani se
siyah-ru bhi dam-e-hashr shust-o-shu karte
na tha shabab kamar mein 'riyaz' zar hota
to din buDhape ke bhi nazr-e-lucknow karte
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 106)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.