jab na tab karata hai humse tazkira baala-e-hosh
jab na tab karatā hai ham se tazkira bālā-e-hosh
aap aa jaa.eñ kisī din muñh ke bal gir jaa.e hosh
'ain mastī meñ kisī din gar ḳhudā na kHvāsta
dekh le jo aap ko to hosh meñ aa jaa.e hosh
de rahā hai daras ham ko vo kushāda zarf kā
ek qatra pī ke jo qaabū meñ na rakh paa.e hosh
naaz kartī phir rahī hai bhuul merī bhuul par
aap ke dīdār meñ ham josh meñ chhoḌ aa.e hosh
is liye masjid se aatī hai sadā-e-assalāt
hosh ko behoshiyoñ kā kaash kuchh aa jaa.e hosh
sar paTaktī phir rahī hai dekhiye dīvāngī
raah meñ baiThā huā hai kaun ye bikhrā.e hosh
khā ke Thokar hosh meñ aanā 'hakīmī' kis liye
baat tab hai jab banā Thokar hī khaa.e aa.e hosh
jab na tab karata hai hum se tazkira baala-e-hosh
aap aa jaen kisi din munh ke bal gir jae hosh
'ain masti mein kisi din gar KHuda na kHwasta
dekh le jo aap ko to hosh mein aa jae hosh
de raha hai daras hum ko wo kushada zarf ka
ek qatra pi ke jo qabu mein na rakh pae hosh
naz karti phir rahi hai bhul meri bhul par
aap ke didar mein hum josh mein chhoD aae hosh
is liye masjid se aati hai sada-e-assalat
hosh ko behoshiyon ka kash kuchh aa jae hosh
sar paTakti phir rahi hai dekhiye diwangi
rah mein baiTha hua hai kaun ye bikhrae hosh
kha ke Thokar hosh mein aana 'hakimi' kis liye
baat tab hai jab bana Thokar hi khae aae hosh
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 407)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.