ho gae ruKHsat imam-e-sarmad-e-mastana ab
ho ga.e ruḳhsat imām-e-sarmad-e-mastāna ab
muqtadī laa.eñ kahāñ se daulat-e-vajdāna ab
ho ga.ī hāsil use bhī vus'at-e-rindāna ab
hosh meñ aane lagā hai aap kā dīvāna ab
jis ko hāsil ho gayā hai ḳhvāb meñ dīdār-e-yār
us pe lāzim ho gayā hai sajda-e-shukrāna ab
qum-be-iznillāh kī tashrīh mahñgī paḌ ga.ī
khaal khiñchvānī paḌegī bā’as-e-jurmāna ab
boriye par aap ne jab se biThāyā hai mujhe
raas aatī hī nahīñ hai zindagī shāhāna ab
ho rahe haiñ munkashif har shakl meñ jab aap hī
phir nazar aa.e koī kaise mujhe begāna ab
paḌh rahā huuñ ai 'hakīmī' jhuum kar nād-e-'alī
nuur se chamkegā mere dil kā ye kāshāna ab
ho gae ruKHsat imam-e-sarmad-e-mastana ab
muqtadi laen kahan se daulat-e-wajdana ab
ho gai hasil use bhi wus'at-e-rindana ab
hosh mein aane laga hai aap ka diwana ab
jis ko hasil ho gaya hai KHwab mein didar-e-yar
us pe lazim ho gaya hai sajda-e-shukrana ab
qum-be-iznillah ki tashrih mahngi paD gai
khaal khinchwani paDegi ba’as-e-jurmana ab
boriye par aap ne jab se biThaya hai mujhe
ras aati hi nahin hai zindagi shahana ab
ho rahe hain munkashif har shakl mein jab aap hi
phir nazar aae koi kaise mujhe begana ab
paDh raha hun ai 'hakimi' jhum kar nad-e-'ali
nur se chamkega mere dil ka ye kashana ab
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 418)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.