kaise ho jaun bhala nind se bedar abhi
kaise ho jā.ūñ bhalā niiñd se bedār abhī
zīnat-e-ḳhvāb haiñ vo phuul se ruḳhsār abhī
kah rahe the ki milā duuñ kyā ḳhudā se tujh ko
kah diyā maiñ usī pal mire sarkār abhī
hākim-e-husn guzarte haiñ nazar nīchī rakho
varna kar leñge mohabbat meñ giraftār abhī
itnī āsānī se mansūr na ban pāoge
jazba-e-’ishq ko ik aañch hai darkār abhī
pul-sirāt aatā hai aa jaa.e tufail-e-murshid
ham bhī ho jā.eñge is paar se us paar abhī
ik mujāhid hai abhī farsh pe mahv-e-sajda
kis tarah 'arsh se ho hashr kī bauchhār abhī
ho ga.iiñ sadiyāñ zamīñ oḌh ke so.e mujh ko
phir bhī zinda hai ‘hakīmī’ mirā kirdār abhī
kaise ho jaun bhala nind se bedar abhi
zinat-e-KHwab hain wo phul se ruKHsar abhi
kah rahe the ki mila dun kya KHuda se tujh ko
kah diya main usi pal mere sarkar abhi
hakim-e-husn guzarte hain nazar nichi rakho
warna kar lenge mohabbat mein giraftar abhi
itni aasani se mansur na ban paoge
jazba-e-’ishq ko ek aanch hai darkar abhi
pul-siraat aata hai aa jae tufail-e-murshid
hum bhi ho jaenge is par se us par abhi
ek mujahid hai abhi farsh pe mahw-e-sajda
kis tarah 'arsh se ho hashr ki bauchhaar abhi
ho gain sadiyan zamin oDh ke soe mujh ko
phir bhi zinda hai ‘hakimi’ mera kirdar abhi
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 419)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.