zindagi aur maut mein hai jang rozana alag
zindagī aur maut meñ hai jañg rozāna alag
justujū jiine kī karnā aur mar jaanā alag
bolne kā kyā hai yuuñ to bol dete haiñ sabhī
bolne ke baa'd lekin kar ke dikhlānā alag
'ishq kī manzil pe detā huuñ shahādat har ghaḌī
har nafas hotā hai merā sar alag shāna alag
tum ne un ke dekhne kā dekhnā dekhā nahīñ
un kī chashm-e-mast meñ bastā hai mai-ḳhāna alag
kab talak ā.īna chehre se rahegā dūr-dūr
kab talak rah pā.egā chehre se ā.īna alag
kaun kis ko māntā hai is mashīnī daur meñ
apnā manvānā alag hai rab kā manvānā alag
gard chehre kī haTā.ūñ to 'hakīmī' kis tarah
ho gayā mujh se mirā aaj ā.īna-ḳhāna alag
zindagi aur maut mein hai jang rozana alag
justuju jine ki karna aur mar jaana alag
bolne ka kya hai yun to bol dete hain sabhi
bolne ke ba'd lekin kar ke dikhlana alag
'ishq ki manzil pe deta hun shahadat har ghaDi
har nafas hota hai mera sar alag shana alag
tum ne un ke dekhne ka dekhna dekha nahin
un ki chashm-e-mast mein basta hai mai-KHana alag
kab talak aaina chehre se rahega dur-dur
kab talak rah paega chehre se aaina alag
kaun kis ko manta hai is mashini daur mein
apna manwana alag hai rab ka manwana alag
gard chehre ki haTaun to 'hakimi' kis tarah
ho gaya mujh se mera aaj aaina-KHana alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.