ro ro ke zar-zar ye kahta hai jaan-e-abr
ro ro ke zār-zār ye kahtā hai jān-e-abr
ho chashm-e-ashk-bār pe ye sā.ebān-e-abr
tāsha-nashīñ meñ chashm kī aave na koī ġhair
baiThā gulāl-e-bāḌ pe hai dārbān-e-abr
duniyā meñ gul-zamīñ nahīñ baaqī sivā-e-gul
aañsū ke aage sabz na hove fuġhān-e-abr
tūfān ashk-e-surḳh kā dekhā nahīñ abhī
gir jaa.e misl-e-barq vagarna ye shān-e-abr
rahmat meñ ġharq kyuuñ ke gunahgār ye na hoñ
mai-ḳhvār is chaman ke haiñ sab mehmān-e-abr
sailāb 'ishq' rone kā tere huā buland
kyuuñ kar na hove past jahāñ meñ nishān-e-abr
ro ro ke zar-zar ye kahta hai jaan-e-abr
ho chashm-e-ashk-bar pe ye saeban-e-abr
tasha-nashin mein chashm ki aawe na koi ghair
baiTha gulal-e-baD pe hai darban-e-abr
duniya mein gul-zamin nahin baqi siwa-e-gul
aansu ke aage sabz na howe fughan-e-abr
tufan ashk-e-surKH ka dekha nahin abhi
gir jae misl-e-barq wagarna ye shan-e-abr
rahmat mein gharq kyun ke gunahgar ye na hon
mai-KHwar is chaman ke hain sab mehman-e-abr
sailab 'ishq' rone ka tere hua buland
kyun kar na howe past jahan mein nishan-e-abr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.