roz tajdid-e-iltifat kahan
roz tajdīd-e-iltifāt kahāñ
agle mausam kī sī vo baat kahāñ
haiñ vahī din magar kahāñ vo din
hai vahī raat par vo raat kahāñ
sun tū ai āftāb-e-ālam-e-tāb
tuune dekhī hai merī raat kahāñ
ik zarā mil ke ro leñ aur ki phir
ham kahāñ tum kahāñ ye raat kahāñ
kaT gayā din talāsh-e-manzil meñ
ab guzartī hai dekheñ raat kahāñ
tū ḳhudā hī sahī magar ba-ḳhudā
tujh meñ insān kī sī baat kahāñ
go vahī naġhma hai vahī mutrib
dil pe agle sī vārdāt kahāñ
dil kī baazī lagī hai ab bhī magar
ek hī chaal meñ vo maat kahāñ
hai tumhīñ se ye kā.enāt magar
tum kahāñ merī kā.enāt kahāñ
maktab-e-āshiqī meñ ai 'maikash'
falsafa aur dīniyāt kahāñ
roz tajdid-e-iltifat kahan
agle mausam ki si wo baat kahan
hain wahi din magar kahan wo din
hai wahi raat par wo raat kahan
sun tu ai aaftab-e-alam-e-tab
tune dekhi hai meri raat kahan
ek zara mil ke ro len aur ki phir
hum kahan tum kahan ye raat kahan
kaT gaya din talash-e-manzil mein
ab guzarti hai dekhen raat kahan
tu KHuda hi sahi magar ba-KHuda
tujh mein insan ki si baat kahan
go wahi naghma hai wahi mutrib
dil pe agle si wardat kahan
dil ki bazi lagi hai ab bhi magar
ek hi chaal mein wo mat kahan
hai tumhin se ye kaenat magar
tum kahan meri kaenat kahan
maktab-e-ashiqi mein ai 'maikash'
falsafa aur diniyat kahan
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 287)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.