saghar sharab-e-ishq ka pi hi liya jo ho so ho
sāġhar sharāb-e-ishq kā pī hī liyā jo ho so ho
sar ab kaTe yā ghar luTe fikr hī kyā jo ho so ho
aql-o-ḳhirad ko chhoḌ kar rāh-e-junūñ pe chal zarā
dil aur jigar hai chiiz kyā sab kuchh luTā jo ho so ho
aag lagī vo ishaq kī sar se maiñ paañv tak jalā
fart-e-ḳhushī se dil mirā kahne lagā jo ho so ho
kāfir kaho yā ab mujhe dīvāna chāhe jo kaho
tere ḳhudā ko vā.izā chhoḌ diyā jo ho so ho
banda huuñ ik sanam kā maiñ 'kāvish' kisī se kyā kahūñ
mujh meñ sivā sanam ke ab kyā hai bachā jo ho so ho
saghar sharab-e-ishq ka pi hi liya jo ho so ho
sar ab kaTe ya ghar luTe fikr hi kya jo ho so ho
aql-o-KHirad ko chhoD kar rah-e-junun pe chal zara
dil aur jigar hai chiz kya sab kuchh luTa jo ho so ho
aag lagi wo ishaq ki sar se main panw tak jala
fart-e-KHushi se dil mera kahne laga jo ho so ho
kafir kaho ya ab mujhe diwana chahe jo kaho
tere KHuda ko waiza chhoD diya jo ho so ho
banda hun ek sanam ka main 'kawish' kisi se kya kahun
mujh mein siwa sanam ke ab kya hai bacha jo ho so ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.