sahab-e-tauhid ko talwar ki hajat nahin
sāhab-e-tauhīd ko talvār kī hājat nahīñ
zaḳhmī-e-mizhgāñ ko kuchh sofār kī hājat nahīñ
kushta-e-ma.ashūq ko guftār kī hājat nahīñ
āshiq-e-gulfām ko gulzār kī hājat nahīñ
jab duī dil se ga.ī aur dilrubā dekhā ayaañ
Daal kar gul ko gale meñ ḳhaar kī hājat nahīñ
āshiq-e-haq haq hue haiñ chhoḌ kar ḳhudī-o-gumāñ
ishq ke māroñ ko kuchh pindār kī hājat nahīñ
maz.haboñ kā shor-o-shar hai manzil-e-avval talak
ma.arifat meñ jā ke phir atvār kī hājat nahīñ
kah anal-haq dam-ba-dam ai mard-e-haq mansūr-vash
jab judā tan se huā phir daar kī hājat nahīñ
dil ko dilbar se lagā kar band-e-chashm-o-gosh-o-lab
sirr-e-jānāñ dekh kar takrār kī hājat nahīñ
kah diyā fir.aun ne bhī maiñ ḳhudā kar ke ḳhudī
ho ke be-ḳhud jab kahe inkār kī hājat nahīñ
jab ḳhudā vāhid kahoge aur kuchh is jā nahīñ
hai ḳhalā jyuuñ ek kuchh dīvār kī hājat nahīñ
āshnā-e-haq jahāñ meñ haiñ hamesha be-niyāz
sāhab-e-iksīr ko zardār kī hājat nahīñ
āshiqoñ kā dil jale aur dilrubā dil-shād haiñ
kaun be-dil hai jise dildār kī hājat nahīñ
qaid ho zulf-e-sanam se ho ga.e sab se rihā
āshiqoñ ko sub.ha-o-zunnār kī hājat nahīñ
jab talak miltā nahīñ vo ahl-e-sūrat hai alam
yaar ko mil sūrat-e-dīvār kī hājat nahīñ
masjid-o-dair-o-haram girjā kunisht aur kyā bahisht
le gale meñ gul-badan gulzār kī hājat nahīñ
jo davā khātā nahīñ kahnā na maane baid kā
ahl-e-hikmat ko bhī us bīmār kī hājat nahīñ
'ārif'-e-allāh jahāñ haiñ bas vahāñ hai shād-o-ḳhush
dost jañgal meñ mile bāzār kī hājat nahīñ
sahab-e-tauhid ko talwar ki hajat nahin
zaKHmi-e-mizhgan ko kuchh sofar ki hajat nahin
kushta-e-mashuq ko guftar ki hajat nahin
aashiq-e-gulfam ko gulzar ki hajat nahin
jab dui dil se gai aur dilruba dekha ayan
Dal kar gul ko gale mein KHar ki hajat nahin
aashiq-e-haq haq hue hain chhoD kar KHudi-o-guman
ishq ke maron ko kuchh pindar ki hajat nahin
mazhabon ka shor-o-shar hai manzil-e-awwal talak
marifat mein ja ke phir atwar ki hajat nahin
kah anal-haq dam-ba-dam ai mard-e-haq mansur-wash
jab juda tan se hua phir dar ki hajat nahin
dil ko dilbar se laga kar band-e-chashm-o-gosh-o-lab
sirr-e-jaanan dekh kar takrar ki hajat nahin
kah diya firaun ne bhi main KHuda kar ke KHudi
ho ke be-KHud jab kahe inkar ki hajat nahin
jab KHuda wahid kahoge aur kuchh is ja nahin
hai KHala jyun ek kuchh diwar ki hajat nahin
aashna-e-haq jahan mein hain hamesha be-niyaz
sahab-e-iksir ko zardar ki hajat nahin
aashiqon ka dil jale aur dilruba dil-shad hain
kaun be-dil hai jise dildar ki hajat nahin
qaid ho zulf-e-sanam se ho gae sab se riha
aashiqon ko subha-o-zunnar ki hajat nahin
jab talak milta nahin wo ahl-e-surat hai alam
yar ko mil surat-e-diwar ki hajat nahin
masjid-o-dair-o-haram girja kunisht aur kya bahisht
le gale mein gul-badan gulzar ki hajat nahin
jo dawa khata nahin kahna na mane baid ka
ahl-e-hikmat ko bhi us bimar ki hajat nahin
'arif'-e-allah jahan hain bas wahan hai shad-o-KHush
dost jangal mein mile bazar ki hajat nahin
- Book : Diwan-e-Arif (Pg. 65)
- Author : Kishan Singh Arif
- Publication : Chashma-e-Noor Press, Amritsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.