sans aata rahe sans jata rahe
saañs aatā rahe saañs jaatā rahe
dard uTh uTh ke dil ko biThātā rahe
umr guzre isī kashmakash meñ mirī
ġham satātā rahe ḳhuuñ rulātā rahe
bād-e-rahmat madīna se chaltī rahe
ġhuncha-e-ārzū muskurātā rahe
maiñ hama-vaqt mahv-e-nazāra huuñ
tu sar-e-bām jalva dikhātā rahe
ham-safar na koī aur na rāhbar
ishq ḳhud rāh-e-taiba dikhātā rahe
parde parde meñ piitā rahūñ jām-e-mai
āñkhoñ āñkhoñ meñ koī pilātā rahe
barq girtī rahe jaan jaltī rahe
qalb sadmoñ pe sadme uThātā rahe
zikr-e-mīlād hotā rahe dahr meñ
ahl-e-mahfil pe rahmat barastī rahe
fikr duniyā kī koī na 'hāmid' ko ho
naġhme tere sadā gungunātā rahe
sans aata rahe sans jata rahe
dard uTh uTh ke dil ko biThata rahe
umr guzre isi kashmakash mein meri
gham satata rahe KHun rulata rahe
baad-e-rahmat madina se chalti rahe
ghuncha-e-arzu muskuraata rahe
main hama-waqt mahw-e-nazara hun
tu sar-e-baam jalwa dikhata rahe
ham-safar na koi aur na rahbar
ishq KHud rah-e-taiba dikhata rahe
parde parde mein pita rahun jam-e-mai
aankhon aankhon mein koi pilata rahe
barq girti rahe jaan jalti rahe
qalb sadmon pe sadme uThata rahe
zikr-e-milad hota rahe dahr mein
ahl-e-mahfil pe rahmat barasti rahe
fikr duniya ki koi na 'hamid' ko ho
naghme tere sada gungunata rahe
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 166)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.