Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

saqi hua begana begane se kya kahiye

Seemab Akbarabadi

saqi hua begana begane se kya kahiye

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    saaqī huā begāna begāne se kyā kahiye

    be-kaifī-e-mai-ḳhāna maiḳhāne se kyā kahiye

    kyā us ko nahīñ ma.alūm āshuftagiyāñ merī

    nairañgī-e-vīrāna vīrāne se kyā kahiye

    takbī-e-vafā sun kar ḳhāmosh haiñ but lekin

    pur-shor hai but-ḳhāna but-ḳhāne se kyā kahiye

    ham talḳhī-e-qismat se haiñ tishna-lab-e-bāda

    gardish meñ hai paimāna paimāne se kyā kahiye

    yuuñ sham.a pe jhuk paḌnā hai sham.a rusvā.ī

    suntā nahīñ parvāna parvāne se kyā kahiye

    duniyā se ik afsāna kahne ko the phir sochā

    duniyā hai ḳhud afsāna afsāne se kyā kahiye

    'sīmāb' sarmastī aur ġham-kada-e-hastī

    dīvāna hai dīvāna dīvāne se kyā kahiye

    saqi hua begana begane se kya kahiye

    be-kaifi-e-mai-KHana maiKHane se kya kahiye

    kya us ko nahin malum aashuftagiyan meri

    nairangi-e-virana virane se kya kahiye

    takbi-e-wafa sun kar KHamosh hain but lekin

    pur-shor hai but-KHana but-KHane se kya kahiye

    hum talKHi-e-qismat se hain tishna-lab-e-baada

    gardish mein hai paimana paimane se kya kahiye

    yun shama pe jhuk paDna hai shama ki ruswai

    sunta nahin parwana parwane se kya kahiye

    duniya se ek afsana kahne ko the phir socha

    duniya hai KHud afsana afsane se kya kahiye

    'simab' ki sarmasti aur gham-kada-e-hasti

    diwana hai diwana diwane se kya kahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now