sare aalam mein teri KHushbu hai
saare aalam meñ terī ḳhushbū hai
ai mere rashk-e-gul kahāñ tū hai
ho gayā dām-e-ḳhauf-e-ġham se rihā
jo tumhārā asīr-e-gesū hai
musahaf-e-rū-e-yār-e-jānī par
qābiz afsos ḳhāl-e-hindū hai
nazm-e-ālam ki lā-javāba-lahu
firo is meñ vo bait-e-abrū hai
barchhī thī vo nigāh dekho to
lahū āñkhoñ meñ hai ki aañsū hai
dil jo be-mudda.ā ho kyā kahnā
yahī vīrāna ālam-e-hū hai
ek dam meñ hazār daftar tai
chashm-e-hasrat ġhazab suḳhan-go hai
tū hī tū aur baal baal apnā
fāḳhta aur shor-e-kū-kū hai
tujh ko dekhe phir aap meñ rah jaa.e
dil par itnā kis ko qaabū hai
josh-e-ashk o tasavvur-e-qad-e-yār
sarv goyā khaḌā lab-e-jū hai
had na pūchho hamārī vahshat kī
dil meñ har daaġh chashm-e-āhū hai
jis ne īmān kar diyā kāmil
vo tumhārā hī mus.haf-e-rū hai
jis ke kushte se bhāgtī hai maut
vo tumhārī hī teġh-e-abrū hai
pul bhī hai faḳhr-e-jaunpur 'āsī'
ḳhvāb-gāh-e-janāb-e-sheḳhū hai
sare aalam mein teri KHushbu hai
ai mere rashk-e-gul kahan tu hai
ho gaya dam-e-KHauf-e-gham se riha
jo tumhaara asir-e-gesu hai
musahaf-e-ru-e-yar-e-jaani par
qabiz afsos KHal-e-hindu hai
nazm-e-alam ki la-jawaba-lahu
firo is mein wo bait-e-abru hai
barchhi thi wo nigah dekho to
lahu aankhon mein hai ki aansu hai
dil jo be-muddaa ho kya kahna
yahi virana aalam-e-hu hai
ek dam mein hazar daftar tai
chashm-e-hasrat ghazab suKHan-go hai
tu hi tu aur baal baal apna
faKHta aur shor-e-ku-ku hai
tujh ko dekhe phir aap mein rah jae
dil par itna kis ko qabu hai
josh-e-ashk o tasawwur-e-qad-e-yar
sarw goya khaDa lab-e-ju hai
had na puchho hamari wahshat ki
dil mein har dagh chashm-e-ahu hai
jis ne iman kar diya kaamil
wo tumhaara hi mushaf-e-ru hai
jis ke kushte se bhagti hai maut
wo tumhaari hi tegh-e-abru hai
pul bhi hai faKHr-e-jaunpur 'asi'
KHwab-gah-e-janab-e-sheKHu hai
- Book : Diwan-e-aasi (Pg. 74)
- Author : Aasi Ghazipuri
- Publication : Subhanallah Azeem Gorakhpuri (1938)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.