saya-afagan ho jo wo zulf-e-moambar aag mein
sāya-afagan ho jo vo zulf-e-mo.ambar aag meñ
dūd-e-pechāñ ban ke sumbul ho mo.attar aag meñ
kaam parvāna kā jal jaanā hai uḌ kar aag meñ
muñh hai kyā ai sham.a jo maare magas par aag meñ
rizq donoñ ko hī pahuñchātā hai vo rozī-rasāñ
aab meñ rahtī hai maahī aur samandar aag meñ
mujh ko sūjhe hai ki tū ātish-e-ḳhūñ se mil ke aah
jhoñk degā ek din ai dil muqarrar aag meñ
dekhe tabḳhāle vo aa kar aḳhgar-e-lab par tire
gar na dekhe ho kisī ne kān-e-gauhar aag meñ
ātish-e-dozaḳh kā ham tar-dāmanoñ ko kyā hai ḳhauf
vā.izā jaltī nahīñ hai haizam-e-tar aag meñ
taptī hai yak jur.a-e-mai ho gayā siina kabāb
farq kyā is aab meñ hai aur dilbar aag meñ
Dhaak hai jañgal meñ phūlā yā tire aahoñ se qais
jal rahe haiñ yak-qalam ashjār-e-be-bar aag meñ
ātishī shīshe meñ saaqī bāda-e-gulnār bhar
kyā ajab ātish mire kā ho guzar gar aag meñ
tafta-jāñ mar kar tire go sīm-tan miTTī hue
to bhī par jalte haiñ ban kar kūrah-zargar aag meñ
kyuuñ na TuuTe chaak par girdāb ke jām-e-habāb
sāqiyā hotā hai puḳhta rah ke sāġhar aag meñ
kah do us mutrib-pisar se nāla-e-dīpak-asar
khīñch kar chaltā hai koī terā muztar aag meñ
mom-āsā ishq ne terā hī dil pighlā diyā
ho gayā āḳhir ko paanī dekh patthar aag meñ
aur kar tahrīr garm us se ġhazal ab ai 'nasīr'
tā-suḳhan-chīñ ḳhaak hoñ juuñ sham.a jal kar aag meñ
saya-afagan ho jo wo zulf-e-moambar aag mein
dud-e-pechan ban ke sumbul ho moattar aag mein
kaam parwana ka jal jaana hai uD kar aag mein
munh hai kya ai shama jo mare magas par aag mein
rizq donon ko hi pahunchata hai wo rozi-rasan
aab mein rahti hai mahi aur samandar aag mein
mujh ko sujhe hai ki tu aatish-e-KHun se mil ke aah
jhonk dega ek din ai dil muqarrar aag mein
dekhe tabKHale wo aa kar aKHgar-e-lab par tere
gar na dekhe ho kisi ne kan-e-gauhar aag mein
aatish-e-dozaKH ka hum tar-damanon ko kya hai KHauf
waiza jalti nahin hai haizam-e-tar aag mein
tapti hai yak jura-e-mai ho gaya sina kabab
farq kya is aab mein hai aur dilbar aag mein
Dhak hai jangal mein phula ya tere aahon se qais
jal rahe hain yak-qalam ashjar-e-be-bar aag mein
aatishi shishe mein saqi baada-e-gulnar bhar
kya ajab aatish mere ka ho guzar gar aag mein
tafta-jaan mar kar tere go sim-tan miTTi hue
to bhi par jalte hain ban kar kurah-zargar aag mein
kyun na TuTe chaak par girdab ke jam-e-habab
saqiya hota hai puKHta rah ke saghar aag mein
kah do us mutrib-pisar se nala-e-dipak-asar
khinch kar chalta hai koi tera muztar aag mein
mom-asa ishq ne tera hi dil pighla diya
ho gaya aaKHir ko pani dekh patthar aag mein
aur kar tahrir garm us se ghazal ab ai 'nasir'
ta-suKHan-chin KHak hon jun shama jal kar aag mein
- Book : Intikhab-e-Kulliyat-e-Shah Naseer, Edited: Hafiz Mohammad Akbar (Pg. 61)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Aalaa Pres Merath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.