sab ko uljhae hue hai zulf-e-pechan in dinon
sab ko uljhā.e hue hai zulf-e-pechāñ in dinoñ
kaun suntā hai mirā hāl-e-pareshāñ in dinoñ
ho rahā huuñ mahv-e-dīd-e-rū-e-jānāñ in dinoñ
kyuuñ na huuñ phir sūrat-e-ā.īna hairāñ in dinoñ
mus.haf-e-ruḳh nūr-fshānī se baizāvī huā
ho ga.e kyā muttahid tafsīr-o-qur.āñ in dinoñ
sāhat-e-dil ā.īna hai aur āñkheñ dūrbīñ
kyuuñ nazar aatā nahīñ phir rū-e-jānāñ in dinoñ
rāt-din goshe meñ kab tak ishaq-e-lailā-e-jamāl
ban ke majnūñ kījiye sair-e-bayābāñ in dinoñ
ab sikandar-pūr rashk-e-ḳhitta-e-shīrāz hai
laa.e haiñ tashrīf ustād-e-suḳhan-dāñ in dinoñ
lucknow kī shā.irī mansūḳh hai is daur meñ
rashk-e-'nāsiḳh' hai har ik tifl-e-dabistāñ in dinoñ
shā.erān-e-dahr ko ab hai pareshānī nasīb
karte haiñ ustād 'akmal' jam.a dīvāñ in dinoñ
ik jagah rahne nahīñ detī zamāne kī havā
ho rahā huuñ misl-e-aurāq-e-pareshāñ in dinoñ
rāt-din 'ājiz'-navāzī un ko ab manzūr hai
kyuuñ na ho phir basta-e-zanjīr-e-ehsāñ in dinoñ
sab ko uljhae hue hai zulf-e-pechan in dinon
kaun sunta hai mera haal-e-pareshan in dinon
ho raha hun mahw-e-did-e-ru-e-jaanan in dinon
kyun na hun phir surat-e-aina hairan in dinon
mushaf-e-ruKH nur-fshani se baizawi hua
ho gae kya muttahid tafsir-o-quran in dinon
sahat-e-dil aaina hai aur aankhen durbin
kyun nazar aata nahin phir ru-e-jaanan in dinon
raat-din goshe mein kab tak ishaq-e-laila-e-jamal
ban ke majnun kijiye sair-e-bayaban in dinon
ab sikandar-pur rashk-e-KHitta-e-shiraaz hai
lae hain tashrif ustad-e-suKHan-dan in dinon
lucknow ki shairi mansuKH hai is daur mein
rashk-e-'nasiKH' hai har ek tifl-e-dabistan in dinon
shaeran-e-dahr ko ab hai pareshani nasib
karte hain ustad 'akmal' jama diwan in dinon
ek jagah rahne nahin deti zamane ki hawa
ho raha hun misl-e-auraq-e-pareshan in dinon
raat-din 'ajiz'-nawazi un ko ab manzur hai
kyun na ho phir basta-e-zanjir-e-ehsan in dinon
- Book : Diwan-e-Ajiz Musamma Ba Faiz-e-Ruh-ul-Qudus (Pg. 62)
- Author : Ibrahim Ajiz
- Publication : Nami Press, Lucknow (1934)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.