surkH-ru usko humne yun dekha
surkH-rū us ko ham ne yuuñ dekhā
jis ne tum ko jahāñ meñ haq dekhā
lutf-o-karam aap kā kuchh yuuñ dekhā
dekhā aisā ki jā-bajā dekhā
karte rahnā mujh gunāhgār par karam itnā
donoñ 'ālam ho bharam apnā
kyā banāyā hai kuchh nahīñ baaqī
ho ke qurbān ham ne yuuñ dekhā
jis ko dekhā vo terā shaidā.ī
chaar sū tujh ko rūnumā dekhā
manzil yuuñ mujh ko DhūñDhtī aa.ī
kyā tamāsha hai ye 'sābir' dekhā
surkH-ru us ko hum ne yun dekha
jis ne tum ko jahan mein haq dekha
lutf-o-karam aap ka kuchh yun dekha
dekha aisa ki ja-baja dekha
karte rahna mujh gunahgar par karam itna
donon 'alam ho bharam apna
kya banaya hai kuchh nahin baqi
ho ke qurban hum ne yun dekha
jis ko dekha wo tera shaidai
chaar su tujh ko runuma dekha
manzil yun mujh ko DhunDhti aai
kya tamasha hai ye 'sabir' dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.