KHud ko har waqt batata hun tumhaara apna
ḳhud ko har vaqt batātā huuñ tumhārā apnā
kyā kabhī tum ne mujhe kah ke pukārā apnā
mujh ko aayā na muyassar jo kabhī rizq-e-halāl
hañs ke fāqoñ pe hī kar lūñgā guzārā apnā
dil ye be-tāb huā jaatā hai be-had ab to
rok de vaa'z ai vaa.iz tū ḳhudā-rā apnā
dil-e-ḳhud sar kī har ek baat kī kar ke tā.īd
maiñ ne karvā liyā be-kār ḳhasāra apnā
us kī dahlīz se ye kah ke maiñ lauT aayā huuñ
ruḳh nahīñ hogā terī samt dobāra apnā
paal kar rog mohabbat kā ai 'nāzāñ' hargiz
haal karnā na mire jaisā ḳhudā-rā apnā
KHud ko har waqt batata hun tumhaara apna
kya kabhi tum ne mujhe kah ke pukara apna
mujh ko aaya na muyassar jo kabhi rizq-e-halal
hans ke faqon pe hi kar lunga guzara apna
dil ye be-tab hua jata hai be-had ab to
rok de wa'z ai waiz tu KHuda-ra apna
dil-e-KHud sar ki har ek baat ki kar ke taid
main ne karwa liya be-kar KHasara apna
us ki dahliz se ye kah ke main lauT aaya hun
ruKH nahin hoga teri samt dobara apna
pal kar rog mohabbat ka ai 'nazan' hargiz
haal karna na mere jaisa KHuda-ra apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.