har gali aabaad hai har aastan aabaad hai
har galī ābād hai har āstāñ ābād hai
aap hī se jān-e-jāñ saarā jahāñ ābād hai
ābiyārī ham ne kī hai is zamīñ kī ḳhuun se
aaj tak jis par hamārā ḳhāndāñ ābād hai
ghar re’āyā ke girā.e jā rahe haiñ din-ba-din
saltanat meñ hākim-e-nā-mehrbāñ ābād hai
fasl-e-gul kyuuñ kar na us meñ lahlahā.egī janāb
aap kī ulfat kā dil meñ gulistāñ ābād hai
is liye lagtā hai ham ko ghar hamārā ḳhuld sā
shādmāñ hai baap is meñ aur maañ ābād hai
vo to ham hī log haiñ jin ke sabab 'nāzāñ' miyāñ
ye zamīñ ābād hai aur āsmāñ ābād hai
har gali aabaad hai har aastan aabaad hai
aap hi se jaan-e-jaan sara jahan aabaad hai
aabiyari hum ne ki hai is zamin ki KHun se
aaj tak jis par hamara KHandan aabaad hai
ghar re’aya ke girae ja rahe hain din-ba-din
saltanat mein hakim-e-na-mehrban aabaad hai
fasl-e-gul kyun kar na us mein lahlahaegi janab
aap ki ulfat ka dil mein gulistan aabaad hai
is liye lagta hai hum ko ghar hamara KHuld sa
shadman hai bap is mein aur man aabaad hai
wo to hum hi log hain jin ke sabab 'nazan' miyan
ye zamin aabaad hai aur aasman aabaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.