har su shohra kyun na ho mera bahut
har sū shohra kyuuñ na ho merā bahut
haq kā karatā rahtā huuñ charchā bahut
so.e rahnā hai añdherī qabr meñ
āḳhirat kā hai safar lambā bahut
manzileñ milnī thiiñ jo mil kar rahīñ
rokā duniyā vāloñ ne rasta bahut
kyā kabhī us ne hañsāyā aap ko
jis kī ḳhātir aap ne royā bahut
ik jhalak dekhā tujhe phir us ke baa'd
dekhne ko tarsā har lamha bahut
duur rah kar paas rahtā huuñ tire
tujh se merā rishta hai gahrā bahut
us ne hī kuchh qadr merī kī nahīñ
maiñ ne to 'nāzāñ' use chāhā bahut
har su shohra kyun na ho mera bahut
haq ka karata rahta hun charcha bahut
soe rahna hai andheri qabr mein
aaKHirat ka hai safar lamba bahut
manzilen milni thin jo mil kar rahin
roka duniya walon ne rasta bahut
kya kabhi us ne hansaya aap ko
jis ki KHatir aap ne roya bahut
ek jhalak dekha tujhe phir us ke ba'd
dekhne ko tarsa har lamha bahut
dur rah kar pas rahta hun tere
tujh se mera rishta hai gahra bahut
us ne hi kuchh qadr meri ki nahin
main ne to 'nazan' use chaha bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.