suljhe na kabhi aaj tak asrar-e-man-o-tu
suljhe na kabhī aaj tak asrār-e-man-o-tū
uljhe hī rahe fitrat-e-idrākke ke gesū
vāqif abhī is ramz-e-haqīqat se nahii. tū
allāh kā banda na musalmāñ hai na hindū
me.arāj-e-ḳhudī hai tirī parvāz pe mauqūf
tu chāhe to ḳhud arsh bane takiya-zānū
haiñ jis se dimāġh jibrīl mo.attar
allāh re vo zulf ġham-e-dost kī ḳhushbū
is dil pe ki jo ishq kī ne.amat se hai mahrūm
khulte nahii. asrār-e-haqīqat kisī pahlū
suljhe na kabhi aaj tak asrar-e-man-o-tu
uljhe hi rahe fitrat-e-idrakke ke gesu
waqif abhi is ramz-e-haqiqat se nahi tu
allah ka banda na musalman hai na hindu
mearaj-e-KHudi hai teri parwaz pe mauquf
tu chahe to KHud arsh bane takiya-zanu
hain jis se dimagh jibril moattar
allah re wo zulf gham-e-dost ki KHushbu
is dil pe ki jo ishq ki neamat se hai mahrum
khulte nahi asrar-e-haqiqat kisi pahlu
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 38)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.