dil phañsā kar zulf meñ ḳhud hai pashemānī mujhe
dahr meñ ḳhalq-e-ḳhudā kahtī hai zindānī mujhe
khīñch kar jis din se dikhlā.ī hai tasvīr aap kī
mānte us din se haiñ bahzād aur maanī mujhe
jaan kā kuchh ḳhauf jāñbāzān-e-ulfat ko nahīñ
aap dikhlāte haiñ kyuuñ teġh-e-sifā-hānī mujhe
us kī yaktā.ī kā da.ava kis tarah bātil karūñ
jiskā 'ālam meñ nazar aatā nahīñ saanī mujhe
dil meñ aatā hai ki fauran zahr khā luuñ hijr meñ
yaad aa jaatī hai jab poshāk vo dhānī mujhe
vahshat-e-dil le chale phir jānib-e-dasht-e-junūñ
kah do aa.eñ dekhne ġhūl-e-bayābānī mujhe
kis parī-vash kā huuñ saudā.ī jo ye 'ālam huā
ab to pariyāñ bhī nazar aatī haiñ dīvānī mujhe
ātish-e-furqat se 'sādiq' ābalā-tan ho gayā
qabr meñ rakhnā pas-e-murdan ba-āsānī mujhe
dil phansa kar zulf mein KHud hai pashemani mujhe
dahr mein KHalq-e-KHuda kahti hai zindani mujhe
khinch kar jis din se dikhlai hai taswir aap ki
mante us din se hain bahzad aur mani mujhe
jaan ka kuchh KHauf jaanbazan-e-ulfat ko nahin
aap dikhlate hain kyun tegh-e-sifa-hani mujhe
us ki yaktai ka dawa kis tarah baatil karun
jiska 'alam mein nazar aata nahin sani mujhe
dil mein aata hai ki fauran zahr kha lun hijr mein
yaad aa jati hai jab poshak wo dhani mujhe
wahshat-e-dil le chale phir jaanib-e-dasht-e-junun
kah do aaen dekhne ghul-e-bayabani mujhe
kis pari-wash ka hun saudai jo ye 'alam hua
ab to pariyan bhi nazar aati hain diwani mujhe
aatish-e-furqat se 'sadiq' aabala-tan ho gaya
qabr mein rakhna pas-e-murdan ba-asani mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.