safar bhi dur ka hai rah aashna bhi nahin
safar bhī duur kā hai raah āshnā bhī nahīñ
chalā udhar ko huuñ jis samt kī havā bhī nahīñ
guzar rahā huuñ qadam rakh ke apnī āñkhoñ par
ga.e dinoñ kī taraf muḌ ke dekhtā bhī nahīñ
mirā vajūd mirī zindagī kī had na sahī
kabhī jo tai hī na ho maiñ vo fāsla bhī nahīñ
fazā meñ phail chalī merī baat kī ḳhushbū
abhī to maiñ ne havāoñ se kuchh kahā bhī nahīñ
samajh rahā huuñ 'muzaffar' use sharīk-e-safar
jo mere saath qadam-do-qadam chalā bhī nahīñ
safar bhi dur ka hai rah aashna bhi nahin
chala udhar ko hun jis samt ki hawa bhi nahin
guzar raha hun qadam rakh ke apni aankhon par
gae dinon ki taraf muD ke dekhta bhi nahin
mera wajud meri zindagi ki had na sahi
kabhi jo tai hi na ho main wo fasla bhi nahin
faza mein phail chali meri baat ki KHushbu
abhi to main ne hawaon se kuchh kaha bhi nahin
samajh raha hun 'muzaffar' use sharik-e-safar
jo mere sath qadam-do-qadam chala bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.