dil na Thahrega to mar jaunga main dil ke liye
dil na Thahregā to mar jā.ūñgā maiñ dil ke liye
aap mushkil meñ na paḌiye mirī mushkil ke liye
un kā sañg-e-āstāñ pākar bhalā jā۔ūñ kahāñ
āḳhirī patthar hai ye bas merī manzil ke liye
zindagī thī maut kā sāmān thī yā maut thī
aap kī pahlī nazar kyā thī mere dil ke liye
vaah vā ai zor-e-tūfān-e-havādis vaah vā
ham bhañvar ke vāste ḳhāshāk sāhil ke liye
aaj chamkā hai sitāra tālibān-e-dīd kā
aap kyā nikle haiñ sair-e-māh-e-kāmil ke liye
mujh se koī husn kī tā'rīf pūchhe to kahūñ
nuur āñkhoñ ke liye hai aarzū dil ke liye
banda banñā chāhtā huuñ aur banda huuñ 'safī'
kar rahā huuñ koshisheñ tahsīl-e-hāsil ke liye
dil na Thahrega to mar jaunga main dil ke liye
aap mushkil mein na paDiye meri mushkil ke liye
un ka sang-e-astan pakar bhala ja۔un kahan
aaKHiri patthar hai ye bas meri manzil ke liye
zindagi thi maut ka saman thi ya maut thi
aap ki pahli nazar kya thi mere dil ke liye
wah wa ai zor-e-tufan-e-hawadis wah wa
hum bhanwar ke waste KHashak sahil ke liye
aaj chamka hai sitara taliban-e-did ka
aap kya nikle hain sair-e-mah-e-kaamil ke liye
mujh se koi husn ki ta'rif puchhe to kahun
nur aankhon ke liye hai aarzu dil ke liye
banda banna chahta hun aur banda hun 'safi'
kar raha hun koshishen tahsil-e-hasil ke liye
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 161)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.