ek dafa muskura dijiye
Interesting Fact
موسیٰ آزاد قوال کی آواز میں فلمی طرز پر لکھی ہوئی مقبولِ عام قوالی۔
ik daf.a muskurā dījiye
dil pe bijlī girā dījiye
hai ye bīmār kī iltijā
ab na koī davā dījiye
de ke mujh ko jahāñ ke alam
har sitam mujh pe Dhahā dījiye
dil ke zaḳhmoñ pe kis ne kahā
aap marham lagā dījiye
chāñd ne muskurā kar kahā
chāñd sā muñh dikhā dījiye
luT rahā hai mirā kārvāñ
rahbaroñ ko sadā dījiye
hasrat-e-dīd laa.ī yahāñ
ruḳh se parda haTā dījiye
āsmāñ par ghaTā chhā ga.ī
ek 'sāġhar' pilā dījiye
ek dafa muskura dijiye
dil pe bijli gira dijiye
hai ye bimar ki iltija
ab na koi dawa dijiye
de ke mujh ko jahan ke alam
har sitam mujh pe Dhaha dijiye
dil ke zaKHmon pe kis ne kaha
aap marham laga dijiye
chand ne muskura kar kaha
chand sa munh dikha dijiye
luT raha hai mera karwan
rahbaron ko sada dijiye
hasrat-e-did lai yahan
ruKH se parda haTa dijiye
aasman par ghaTa chha gai
ek 'saghar' pila dijiye
- Book : Moosa Azad Qawwal, Part 1 (Pg. 8)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.