mujhko diwangi ab le ke kidhar jaegi
Interesting Fact
موسیٰ آزاد قوال کی آواز میں فلمی طرز پر لکھی ہوئی مقبولِ عام قوالی۔
mujh ko dīvāngī ab le ke kidhar jā.egī
hogī rusvā.ī agar yaar ke ghar jā.egī
merī phūTī huī qismat na sañvar paa.ī magar
ye tirī zulf jo bikhrī hai sañvar jā.egī
aisā lagtā hai mirī aarzū mere hamdam
dil meñ paidā huī aur dil meñ hī mar jā.egī
phir huī shaam siyāhī pe shabāb aayā hai
phir ġhazab dil pe tirī yaad bhī kar jā.egī
na muskurā ke ye barsāt meñ lo añgḌā.ī
barq dekhegī to ġhairat se hī mar jā.egī
sāqiyā ġham nahīñ ḳhālī hai jo 'sāġhar' merā
yaad ashkoñ se tirī aañkh to bhar jā.egī
mujh ko diwangi ab le ke kidhar jaegi
hogi ruswai agar yar ke ghar jaegi
meri phuTi hui qismat na sanwar pai magar
ye teri zulf jo bikhri hai sanwar jaegi
aisa lagta hai meri aarzu mere hamdam
dil mein paida hui aur dil mein hi mar jaegi
phir hui sham siyahi pe shabab aaya hai
phir ghazab dil pe teri yaad bhi kar jaegi
na muskura ke ye barsat mein lo angDai
barq dekhegi to ghairat se hi mar jaegi
saqiya gham nahin KHali hai jo 'saghar' mera
yaad ashkon se teri aankh to bhar jaegi
- Book : Moosa Azad Qawwal, Part 1 (Pg. 14)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.