parde se nikal aao pahle ki tarah phir se
parde se nikal aao pahle kī tarah phir se
jalva zarā dikhlāo pahle kī tarah phir se
piyāsā huuñ mujhe apne hāthoñ se mai-e-ulfat
tum aake pilā jaao pahle kī tarah phir se
dīvāne tumhār sab dīdār ke tālib haiñ
mahfil meñ chale aao pahle kī tarah phir se
dil apnā jigar sab kuchh kar deñge nichhāvar ham
tum sāmne to aao pahle kī tarah phir se
rahne do paḌā yuuñ hī qadmoñ meñ hameñ apne
lillāh na Thukrāo pahle kī tarah phir se
apne rū-e-anvar kī tum aake sar-e-mahfil
ḳhairāt luTā jaao pahle kī tarah phir se
aa jaa.eñ 'faroġh' uTh kar parde se vo bāhar ḳhud
mastī meñ ġhazal gaao pahle kī tarah phir se
parde se nikal aao pahle ki tarah phir se
jalwa zara dikhlao pahle ki tarah phir se
piyasa hun mujhe apne hathon se mai-e-ulfat
tum aake pila jao pahle ki tarah phir se
diwane tumhaar sab didar ke talib hain
mahfil mein chale aao pahle ki tarah phir se
dil apna jigar sab kuchh kar denge nichhawar hum
tum samne to aao pahle ki tarah phir se
rahne do paDa yun hi qadmon mein hamein apne
lillah na Thukrao pahle ki tarah phir se
apne ru-e-anwar ki tum aake sar-e-mahfil
KHairaat luTa jao pahle ki tarah phir se
aa jaen 'farogh' uTh kar parde se wo bahar KHud
masti mein ghazal gao pahle ki tarah phir se
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 78)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.