charagh-e-gul the zamin ki gardish Thahar rahi thi
charāġh-e-gul the zamīñ kī gardish Thahar rahī thī
maiñ tere hamrāh bāġh-e-jāñ se guzar rahī thī
tulūa hokar tirī jabīñ ne kahā ki aao
maiñ paañv rakhte hue sitāroñ pe Dar rahī thī
tumhār baazū pe sabz ta.avīz khul rahā thā
mirī mohabbat pe āyat-e-dil utar rahī thī
kise ḳhabar thī ye ehtimām-e-visāl-e-nau hai
maiñ hijr kī shab-e-shikastagī meñ sañvar rahī thī
ki raushnī kā rasīlā ras the tamām manzar
maiñ apnī āñkheñ tumhārī āñkhoñ se bhar rahī thī
abhī abhī to dhanak ke nam ne chhuā thā mujh meñ
abhī abhī to maiñ niiñd meñ baat kar rahī thī
vo ishq kā āḳhirī paḌāv vo dil kā thaknā
maiñ hijr-zādī thī aur ḳhud se guzar rahī thī
charagh-e-gul the zamin ki gardish Thahar rahi thi
main tere hamrah bagh-e-jaan se guzar rahi thi
tulua hokar teri jabin ne kaha ki aao
main panw rakhte hue sitaron pe Dar rahi thi
tumhaar bazu pe sabz tawiz khul raha tha
meri mohabbat pe aayat-e-dil utar rahi thi
kise KHabar thi ye ehtimam-e-visal-e-nau hai
main hijr ki shab-e-shikastagi mein sanwar rahi thi
ki raushni ka rasila ras the tamam manzar
main apni aankhen tumhaari aankhon se bhar rahi thi
abhi abhi to dhanak ke nam ne chhua tha mujh mein
abhi abhi to main nind mein baat kar rahi thi
wo ishq ka aaKHiri paDaw wo dil ka thakna
main hijr-zadi thi aur KHud se guzar rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.