ai mere mah-ru teri chasm-e-sitara san ke baad
ai mire māh-rū tirī chasm-e-sitāra saañ ke ba.ad
chāñd kī diid kyā kareñ rūyat-e-kahkashāñ ke ba.ad
band qabā-e-ārzū kholiye kis ke vāste
daur-e-subū kā lutf kyā ruḳhsat-e-mai-kashāñ ke ba.ad
kiije firāq se visāl kohna-sarā-e-ishq meñ
nazr guzāriye koī aur bhī naqd-e-jāñ ke ba.ad
ai mire dil dhaḌak na yuuñ TuuT na jaa.e ye fusūñ
bhed bhare haiñ rāste jāda-e-āsmāñ ke ba.ad
vo jo sunahrī dhuñd sī dekhte ho sar-e-ufuq
tum se mileñge ham vahīñ 'arsa-e-jism-o-jāñ ke ba.ad
chāhat-e-rā.igāñ talak tujh ko na yaad aa.e ham
ā.eñge yaad ham tujhe hāsil-e-rā.ingāñ ke ba.ad
shab ke sunahrī jaam meñ terī shabīh dekhte
khultā agar vo mai-kada raqs-e-sitār-gāñ ke ba.ad
ai mere mah-ru teri chasm-e-sitara san ke baad
chand ki did kya karen ruyat-e-kahkashan ke baad
band qaba-e-arzu kholiye kis ke waste
daur-e-subu ka lutf kya ruKHsat-e-mai-kashan ke baad
kije firaq se visal kohna-sara-e-ishq mein
nazr guzariye koi aur bhi naqd-e-jaan ke baad
ai mere dil dhaDak na yun TuT na jae ye fusun
bhed bhare hain raste jada-e-asman ke baad
wo jo sunahri dhund si dekhte ho sar-e-ufuq
tum se milenge hum wahin 'arsa-e-jism-o-jaan ke baad
chahat-e-raigan talak tujh ko na yaad aae hum
aaenge yaad hum tujhe hasil-e-raingan ke baad
shab ke sunahri jam mein teri shabih dekhte
khulta agar wo mai-kada raqs-e-sitar-gan ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.