shaklon ke iKHtilaf se dhoka na khaiye
shakloñ ke iḳhtilāf se dhokā na khā.iye
vo jis libās meñ bhī ho pahchān jāniye
mujh meñ samā ke mujh meñ hī rū-posh ho ga.e
us dard-e-dil-e-fareb pe qurbān jā.iye
kis kā visāl kaisī talab kaisī aarzū
sab kuchh yahī hai ḳhud ko agar bhuul jā.iye
terā ḳhayāl terā karam terā āstāñ
dīvāne nigār-e-'ishq ko kyā aur chāhiye
maqsūd-e-do-jahāñ hai faqat terā chāhnā
chāhiye jo tū hameñ to aur kyā chāhiye
rah jaa.e merī baat bhī parda bhī aap kā
aanā hai aap ne to tasavvur meñ aa.iye
dekhā uThā ki aañkh yuuñ gir paḌe the kalīm
guzrī thī kyā janāb par tujh ko batā.iye
'sājid' samajh meñ aa.egā tab vahdat-ul-vujūd
pahle ḳhayāl-e-ġhair ko dil se miTā.iye
shaklon ke iKHtilaf se dhoka na khaiye
wo jis libas mein bhi ho pahchan jaaniye
mujh mein sama ke mujh mein hi ru-posh ho gae
us dard-e-dil-e-fareb pe qurban jaiye
kis ka visal kaisi talab kaisi aarzu
sab kuchh yahi hai KHud ko agar bhul jaiye
tera KHayal tera karam tera aastan
diwane nigar-e-'ishq ko kya aur chahiye
maqsud-e-do-jahan hai faqat tera chahna
chahiye jo tu hamein to aur kya chahiye
rah jae meri baat bhi parda bhi aap ka
aana hai aap ne to tasawwur mein aaiye
dekha uTha ki aankh yun gir paDe the kalim
guzri thi kya janab par tujh ko bataiye
'sajid' samajh mein aaega tab wahdat-ul-wujud
pahle KHayal-e-ghair ko dil se miTaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.