Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

salam aaya na kuchh paigham aaya

Zaheen Shah Taji

salam aaya na kuchh paigham aaya

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    salām aayā na kuchh paiġhām aayā

    taġhāful un mere kaam aayā

    vo haiñ apne na hone se numāyāñ

    nigāhoñ par nayā ilzām aayā

    misal mash.hūr hai ye mai-kade meñ

    huā puḳhta yahāñ jo ḳhaam aayā

    hakīm-e-asr ko mastī meñ aakar

    ilāj-e-gardish-e-ayyām aayā

    shab-e-ġham dil ko taḌpāne aa.e

    tum aa.e tumhārā naam aayā

    mohabbat vaqt par hākim hai phir bhī

    tasavvur un sub.h-o-shām aayā

    dar-e-pīr-e-muġhāñ par hai ye katba

    gayā ḳhush kaam jo nākām aayā

    jo dekhā mahd se lekar lahad tak

    ga.iiñ bechainiyāñ ārām aayā

    'zahīn' pairāhan-e-yūsuf samajh kar

    ġhilāf-e-ka.aba ko maiñ thaam aayā

    salam aaya na kuchh paigham aaya

    taghaful un ka mere kaam aaya

    wo hain apne na hone se numayan

    nigahon par naya ilzam aaya

    misal mashhur hai ye mai-kade mein

    hua puKHta yahan jo KHam aaya

    hakim-e-asr ko masti mein aakar

    ilaj-e-gardish-e-ayyam aaya

    shab-e-gham dil ko taDpane hi aae

    tum aae ya tumhaara nam aaya

    mohabbat waqt par hakim hai phir bhi

    tasawwur un ka subh-o-sham aaya

    dar-e-pir-e-mughan par hai ye katba

    gaya KHush kaam jo nakaam aaya

    jo dekha mahd se lekar lahad tak

    gain bechainiyan aaram aaya

    'zahin' pairahan-e-yusuf samajh kar

    ghilaf-e-kaba ko main tham aaya

    Source :
    • Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 41)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now